na-KHalaf mizaj ki musaddaqa taslimat
mere badan kī chaar dīvārī ke liye
khanaktī huī miTTī kam thī
is liye ḳhudā ne āñkhoñ meñ kāñch bhar diyā
aur jahannam ke lapakte hue sho.aloñ kī jalan lahū meñ rakh dī
mere hāthoñ meñ laq-o-daq sahrāoñ kī retīlī vahshat
chabā.e hue aks kī lakīreñ banātī rahtī hai
aur zehn ke riste hue patīle meñ
din bhar bardāsht kā laavā khaultā hai
log apne andāzoñ kī jūtiyāñ
mere ehsās ke darvāze pe utārte haiñ
aur kufr kī masjid meñ nañge paañv chale aate haiñ
maiñ apnī zaat meñ itnī muta.assib huuñ ki
lahjoñ ko un ke maslak se pahchāntī huuñ
aur kisī bā-muravvat ḳhānqāh meñ
majbūrī kā sajda nahīñ kartī
koī ġhalīz muskurāhaT merī āñkhoñ ko chhūnā chāhe to
maiñ hoñToñ pe thuuk detī huuñ
lekin sadqa-e-jāriya kā surḳh rumāl uñglī pe nahīñ bāñdh saktī
mere badan ki chaar diwari ke liye
khanakti hui miTTi kam thi
is liye KHuda ne aankhon mein kanch bhar diya
aur jahannam ke lapakte hue shoalon ki jalan lahu mein rakh di
mere hathon mein laq-o-daq sahraon ki retili wahshat
chabae hue aks ki lakiren banati rahti hai
aur zehn ke riste hue patile mein
din bhar bardasht ka lawa khaulta hai
log apne andazon ki jutiyan
mere ehsas ke darwaze pe utarte hain
aur kufr ki masjid mein nange panw chale aate hain
main apni zat mein itni mutassib hun ki
lahjon ko un ke maslak se pahchanti hun
aur kisi ba-murawwat KHanqah mein
majburi ka sajda nahin karti
koi ghaliz muskurahaT meri aankhon ko chhuna chahe to
main honTon pe thuk deti hun
lekin sadqa-e-jariya ka surKH rumal ungli pe nahin bandh sakti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.