na-malum safar
ghar se niklā hai har ik shaḳhs kuchh ummīd liye
dil meñ armān bhī haiñ rāste pur-ḳhār bhī haiñ
kahīñ Thokar kahīñ patthar kahīñ dīvāreñ bhī
nahīñ mālūm hai manzil kā patā duniyā meñ
par safar ziist kā har haal meñ tai karnā hai
koī is jidd-o-jahd meñ hai ki daulat mil jaa.e
koī kahtā hai mujhe merī mohabbat mil jaa.e
koī chāhtā hai use saarī shujā.at mil jaa.e
koī kahtā hai savālāt se rāhat mil jaa.e
ya.anī har haal meñ har shaḳhs ko kuchh chāhiye hai
aur is dauḌ meñ sāñsoñ kā bharosa bhī nahīñ
aage ik moḌ hai us moḌ pe do raste haiñ
kaun se rāste jaanā hai kise chhoḌnā hai
hādse kitne hoñ daurān-e-safar kyā mālūm
is safar meñ koī manzil bhī mile nā-ma.alūm
ghar se nikla hai har ek shaKHs kuchh ummid liye
dil mein arman bhi hain raste pur-KHar bhi hain
kahin Thokar kahin patthar kahin diwaren bhi
nahin malum hai manzil ka pata duniya mein
par safar zist ka har haal mein tai karna hai
koi is jidd-o-jahd mein hai ki daulat mil jae
koi kahta hai mujhe meri mohabbat mil jae
koi chahta hai use sari shujaat mil jae
koi kahta hai sawalat se rahat mil jae
yani har haal mein har shaKHs ko kuchh chahiye hai
aur is dauD mein sanson ka bharosa bhi nahin
aage ek moD hai us moD pe do raste hain
kaun se raste jaana hai kise chhoDna hai
hadse kitne hon dauran-e-safar kya malum
is safar mein koi manzil bhi mile na-malum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.