na-rasa
mujhe ḳhvāb apnā aziiz thā
so maiñ niiñd se na jagā kabhī
mujhe niiñd apnī aziiz hai
ki maiñ sar-zamīn pe ḳhvāb kī
koī phuul aisā khilā sakūñ
ki jo mushk ban ke mahak sake
koī diip aisā jalā sakūñ
jo sitāra ban ke damak sake
mirā ḳhvāb ab bhī hai niiñd meñ
mirī niiñd ab bhī hai muntazir
ki maiñ vo karishma dikhā sakūñ
kahīñ phuul koī khilā sakūñ
kahīñ diip koī jalā sakūñ
mujhe KHwab apna aziz tha
so main nind se na jaga kabhi
mujhe nind apni aziz hai
ki main sar-zamin pe KHwab ki
koi phul aisa khila sakun
ki jo mushk ban ke mahak sake
koi dip aisa jala sakun
jo sitara ban ke damak sake
mera KHwab ab bhi hai nind mein
meri nind ab bhi hai muntazir
ki main wo karishma dikha sakun
kahin phul koi khila sakun
kahin dip koi jala sakun
- Book : Azadi Ke Bad Urdu Nazam (Pg. 571)
- Author : Shamim Hanfi and Mazhar Mahdi
- Publication : qaumi council baraye-farogh urdu (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.