na-rasai
hazāroñ pattoñ par tum ko ḳhat likhe
ek ek jaan pahchān vaale se
pūchhtā phirā huuñ
jitne muñh the utnī bāteñ
jaane kaun ho?
tum ko jāntā nahīñ, pahchāntā bahut huuñ
pata nahīñ kaun se ḳhvāb meñ
kis tārīk lamhe meñ
bechain be-nīnd raat kī kaun sī karvaT meñ
achānak raushnī sā tum ko dekhā thā
tab se tum se mohabbat ho ga.ī hai
tumhārā pur-sukūn bhar puur chehra
us par merī puurī pakaḌ hai
tum ko paane ke pāgal-pan meñ
saarī duniyā kī tārīḳh juġhrāfiya
falsafe, samājī uluum
adab, shā.irī saare funūn-e-latīfa
sab kuchh jaan liyā
tamām zamānoñ kī insānī shakleñ
tum se milātā huuñ
taqdīr ko likhe hue
aadmī ke saare mohabbat-nāme paḌhtā huuñ
shāyad kahīñ tumhārā zikr ho
abhī abhī tum ko
kasī huī bhiiḌ ke āḳhirī sire par
dekhā hai achānak
rele par relā, dhakke par dhakkā
kahīñ bhī koī shigāf nahīñ
insānī jismoñ kī ūñchī dīvār
tum tak kabhī bhī
pahuñchne na degī
hazaron patton par tum ko KHat likhe
ek ek jaan pahchan wale se
puchhta phira hun
jitne munh the utni baaten
jaane kaun ho?
tum ko jaanta nahin, pahchanta bahut hun
pata nahin kaun se KHwab mein
kis tarik lamhe mein
bechain be-nind raat ki kaun si karwaT mein
achanak raushni sa tum ko dekha tha
tab se tum se mohabbat ho gai hai
tumhaara pur-sukun bhar pur chehra
us par meri puri pakaD hai
tum ko pane ke pagal-pan mein
sari duniya ki tariKH jughrafiya
falsafe, samaji ulum
adab, shairi sare funun-e-latifa
sab kuchh jaan liya
tamam zamanon ki insani shaklen
tum se milata hun
taqdir ko likhe hue
aadmi ke sare mohabbat-name paDhta hun
shayad kahin tumhaara zikr ho
abhi abhi tum ko
kasi hui bhiD ke aaKHiri sire par
dekha hai achanak
rele par rela, dhakke par dhakka
kahin bhi koi shigaf nahin
insani jismon ki unchi diwar
tum tak kabhi bhi
pahunchne na degi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.