na-shanas
kitne lahjoñ kī kaTāreñ mirī gardan pe chalīñ
kitne alfāz kā siisa mire kānoñ meñ ghulā
jis meñ ik samt dhuñdalkā thā aur ik samt ġhubār
us tarāzū pe mire dard kā sāmān tulā
kam-nigāhī ne basīrat pe uThā.e neze
vahm kī nahr meñ pairāhan-e-afkār dhulā
qaht aisā thā ki barpā na huī majlis-e-ishq
habs aisā thā ki tahqīq kā parcham na khulā
kaun se des meñ rahte haiñ vo monis jin kī
roz ik baat sunāte the sunāne vaale
Thokaroñ meñ hai matā.a-e-dil-e-vīrāñ kab se
kyā hue ġham ko sar āñkhoñ pe biThāne vaale
raat sunsān hai be-nūr sitāre maddham
kyā hue raah meñ palkoñ ko bichhāne vaale
ab to vo din bhī nahīñ haiñ ki mire naam ke saath
aap kā naam batāte the zamāne vaale
kitne lahjon ki kaTaren meri gardan pe chalin
kitne alfaz ka sisa mere kanon mein ghula
jis mein ek samt dhundalka tha aur ek samt ghubar
us taraazu pe mere dard ka saman tula
kam-nigahi ne basirat pe uThae neze
wahm ki nahr mein pairahan-e-afkar dhula
qaht aisa tha ki barpa na hui majlis-e-ishq
habs aisa tha ki tahqiq ka parcham na khula
kaun se des mein rahte hain wo monis jin ki
roz ek baat sunate the sunane wale
Thokaron mein hai mataa-e-dil-e-viran kab se
kya hue gham ko sar aankhon pe biThane wale
raat sunsan hai be-nur sitare maddham
kya hue rah mein palkon ko bichhane wale
ab to wo din bhi nahin hain ki mere nam ke sath
aap ka nam batate the zamane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.