na-shanas namon ki amanat
dhuup ke samundar meñ
barf kī salīboñ par
ḳhvāhishoñ ke tinkoñ se
ek lafz likkhā hai
lafz jo amānat hai
raushnī kī sub.hoñ kī
dard ke rafīqoñ kī
phuul phuul shāḳhoñ kī
zard zard shāmoñ kī
nā-shanās nāmoñ kī
lafz jo sadāqat hai
an-kahe savāloñ kī
jāgte ḳhayāloñ kī
reñgte ujāloñ kī
kis tarah sameTegā
merī terī nasloñ ko
ḳhvāb ke jazīroñ meñ
aane vaale lamhoñ meñ
lafz jo diyānat hai
lafz jo ibādat hai
dhup ke samundar mein
barf ki salibon par
KHwahishon ke tinkon se
ek lafz likkha hai
lafz jo amanat hai
raushni ki subhon ki
dard ke rafiqon ki
phul phul shaKHon ki
zard zard shamon ki
na-shanas namon ki
lafz jo sadaqat hai
an-kahe sawalon ki
jagte KHayalon ki
rengte ujalon ki
kis tarah sameTega
meri teri naslon ko
KHwab ke jaziron mein
aane wale lamhon mein
lafz jo diyanat hai
lafz jo ibaadat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.