nadan
kitnā nādān huuñ abhī tak maiñ
jāntā huuñ ke ek din tum ko
duur honā hai merī duniyā se
chāhe jaatā huuñ tum ko maiñ phir bhī
aur yādoñ ko apne siine meñ
yuuñ chhupā.e hue huuñ duniyā se
jaise motī ko siipī rakhtī hai
kaash tum jāntīñ tumhāre liye
kitne armān haiñ mere dil meñ
ek armān tum ko paane kā
ek sadma tumheñ gañvāne kā
ek ḳhvāhish ki tum bano merī
ek ḳhvāhish ki tum qarīb raho
ek hasrat ki lab tumhāre kabhī
naam merā bhī leñ mohabbat se
ek ḳhadsha ki tum ko khone par
dil mirā bhī kahīñ na kho jaa.e
apnī barbādiyoñ kā ḳhauf nahīñ
ḳhauf itnā hai ki kahīñ tujh ko
paa.e jaane kī merī ye koshish
kar na jaa.e kahīñ tujhe rusvā
kitnā nādān huuñ ki maiñ phir bhī
chāhe jaatā huuñ chāhe jaatā huuñ
kitna nadan hun abhi tak main
jaanta hun ke ek din tum ko
dur hona hai meri duniya se
chahe jata hun tum ko main phir bhi
aur yaadon ko apne sine mein
yun chhupae hue hun duniya se
jaise moti ko sipi rakhti hai
kash tum jaantin tumhaare liye
kitne arman hain mere dil mein
ek arman tum ko pane ka
ek sadma tumhein ganwane ka
ek KHwahish ki tum bano meri
ek KHwahish ki tum qarib raho
ek hasrat ki lab tumhaare kabhi
nam mera bhi len mohabbat se
ek KHadsha ki tum ko khone par
dil mera bhi kahin na kho jae
apni barbaadiyon ka KHauf nahin
KHauf itna hai ki kahin tujh ko
pae jaane ki meri ye koshish
kar na jae kahin tujhe ruswa
kitna nadan hun ki main phir bhi
chahe jata hun chahe jata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.