nadani
ThanDe lafzoñ ke chhīñToñ se
baḌī samajhdārī se aao
is janjāl se
apnā dāman khīñch ke
ham achchhe ban jaa.eñ
paak saaf aur nek
bujhā deñ dil bhaTTī
apne hāthoñ
apnī raah meñ kāñTe bonā
apnā hī ḳhud dushman banñā
apne ḳhuun ke pyāse honā
sisak sisak kar marnā
apnī qabr khodnā
pyaar ke pīchhe pāgal banñā
jaan hathelī par le kar
yuuñ phirnā
jaise us kā koī mol nahīñ hai
ye to baḌī nādānī hai
sachchā.ī ko tah karke sandūq meñ rakh do
ḳhvāb hai husn bhulā do is ko
phuul kī ḳhushbū
tāroñ kī zau
bahkātī hai
in ko chhoḌo
chāñd chor hai
apne dil ko is se bachāo
āsmān kī niilī chādar phaaḌ ke pheñko
phūñk do har us chiiz ko jis se
ranj-o-ġham yā dard-o-alam kī duur duur se
parchhā.īñ bhī paḌ jaane kā andesha ho
lahū meñ jo tūfān uThā.e
man ko aise bhak se jalā de
jaise jeTh kī dhuup meñ jangal
ānan-fānan jal uThte haiñ
pyāre
pyaar bahut hī dukh detā hai
aao ise dafnā deñ
ThanDe lafzon ke chhinTon se
baDi samajhdari se aao
is janjal se
apna daman khinch ke
hum achchhe ban jaen
pak saf aur nek
bujha den dil bhaTTi
apne hathon
apni rah mein kanTe bona
apna hi KHud dushman banna
apne KHun ke pyase hona
sisak sisak kar marna
apni qabr khodna
pyar ke pichhe pagal banna
jaan hatheli par le kar
yun phirna
jaise us ka koi mol nahin hai
ye to baDi nadani hai
sachchai ko tah karke sanduq mein rakh do
KHwab hai husn bhula do is ko
phul ki KHushbu
taron ki zau
bahkati hai
in ko chhoDo
chand chor hai
apne dil ko is se bachao
aasman ki nili chadar phaD ke phenko
phunk do har us chiz ko jis se
ranj-o-gham ya dard-o-alam ki dur dur se
parchhain bhi paD jaane ka andesha ho
lahu mein jo tufan uThae
man ko aise bhak se jala de
jaise jeTh ki dhup mein jangal
aanan-fanan jal uThte hain
pyare
pyar bahut hi dukh deta hai
aao ise dafna den
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.