nakaam muzakaraat
log rubber-band kī tarah
hāthoñ pe
chaḌhā.e jā sakte haiñ
pahne jā sakte haiñ
pairoñ meñ
kāġhaz chhoTī chhoTī goliyoñ meñ
tabdīl kiye jā sakte haiñ
jinheñ
jab chāho dīvār pe de maaro
un ko kūḌe-dān meñ pheñkā jā saktā hai
jaale aur vahshat utārī jā saktī hai kamroñ kī
itnī bhayānak aur nokīlī haiñ
un kī āvāzeñ
jo sūrāḳh kar detī haiñ
dīvār ke kānoñ meñ
log apnī lambī zabānoñ kā burāda
bhar dete haiñ un sūrāḳhoñ meñ
jo tah-ḳhānoñ meñ jā nikalte haiñ
tah-ḳhānoñ ke zīnoñ par
kaalī satreñ haiñ
chiyūñTiyoñ kī
aur makḌī kī aalī nasleñ
jo thuuk se shāmiyāne buntī haiñ
makḌī ke jaale kaalī satreñ aur log
ek hī ghar meñ rahte haiñ
lekin anjān rahte haiñ
ek dūsre ke nāmoñ se
is liye bahāl nahīñ ho paate
un ke sifāratī ta.alluqāt
rakhī rah jaatī haiñ konoñ khudroñ meñ
zehnī ham-āhañgī kī saarī fileñ
aur log
rubber-band kī tarah un par
chaḌh jaate haiñ
log rubber-band ki tarah
hathon pe
chaDhae ja sakte hain
pahne ja sakte hain
pairon mein
kaghaz chhoTi chhoTi goliyon mein
tabdil kiye ja sakte hain
jinhen
jab chaho diwar pe de maro
un ko kuDe-dan mein phenka ja sakta hai
jale aur wahshat utari ja sakti hai kamron ki
itni bhayanak aur nokili hain
un ki aawazen
jo suraKH kar deti hain
diwar ke kanon mein
log apni lambi zabanon ka burada
bhar dete hain un suraKHon mein
jo tah-KHanon mein ja nikalte hain
tah-KHanon ke zinon par
kali satren hain
chiyunTiyon ki
aur makDi ki aali naslen
jo thuk se shamiyane bunti hain
makDi ke jale kali satren aur log
ek hi ghar mein rahte hain
lekin anjaan rahte hain
ek dusre ke namon se
is liye bahaal nahin ho pate
un ke sifarati talluqat
rakhi rah jati hain konon khudron mein
zehni ham-ahangi ki sari filen
aur log
rubber-band ki tarah un par
chaDh jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.