nakaami
band āñkheñ kiye sar-e-sāhil
kal sahar-dam ye sochtā thā maiñ
niiñd kī god meñ zamāna hai, beḌiyāñ toḌ duuñ, nikal jā.ūñ
vādī-e-hū meñ jā ke kho jā.ūñ
daf.atan ek mauj ne baḌh kar
apnā sar mere paañv par rakkhā
aur kahā
dekh chashm-e-dil se dekh
nīl-gūñ bahr kitnā dilkash hai
hai zamīñ kis qadar hasīn-o-jamīl
āsmāñ kitnā ḳhūb-sūrat hai
lekin ai shāhkār-e-dast-e-azal jis taraf kā tirā irāda hai
kyā pata vo dayār kaisā hai
ye fazā ye havā ye husn tujhe
kyā ḳhabar hai, vahāñ mile na mile?
aur yuuñ band ho ga.iiñ mujh par har taraf se farār kī rāheñ!
band aankhen kiye sar-e-sahil
kal sahar-dam ye sochta tha main
nind ki god mein zamana hai, beDiyan toD dun, nikal jaun
wadi-e-hu mein ja ke kho jaun
dafatan ek mauj ne baDh kar
apna sar mere panw par rakkha
aur kaha
dekh chashm-e-dil se dekh
nil-gun bahr kitna dilkash hai
hai zamin kis qadar hasin-o-jamil
aasman kitna KHub-surat hai
lekin ai shahkar-e-dast-e-azal jis taraf ka tera irada hai
kya pata wo dayar kaisa hai
ye faza ye hawa ye husn tujhe
kya KHabar hai, wahan mile na mile?
aur yun band ho gain mujh par har taraf se farar ki rahen!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.