nakaami
maiñ ne har chand ġham-e-ishq ko khonā chāhā
ġham-e-ulfat ġham-e-duniyā meñ samonā chāhā
vahī afsāne mirī samt ravāñ haiñ ab tak
vahī sho.ale mire siine meñ nihāñ haiñ ab tak
vahī ba-sūd ḳhalish hai mire siine meñ hanūz
vahī bekār tamannā.eñ javāñ haiñ ab tak
vahī gesū mirī rātoñ pe haiñ bikhre bikhre
vahī āñhkeñ mirī jānib nigrāñ haiñ ab tak
kasrat-e-ġham bhī mire ġham kā mudāvā na huī
mere bechain ḳhayāloñ ko sukūn mil na sakā
dil ne duniyā ke har ik dard ko apnā to liyā
muzmahil ruuh ko andāz-e-junūñ mil na sakā
merī taḳhayyul kā shīrāza-e-barham hai vahī
mere bujhte hue ehsās kā aalam hai vahī
vahī be-jān irāde vahī be-rañg savāl
vahī be-rūh kashākash vahī bechain ḳhayāl
aah is kashmakash sub.h o masā kā anjām
maiñ bhī nākām mirī sa.ī amal bhī nākām
main ne har chand gham-e-ishq ko khona chaha
gham-e-ulfat gham-e-duniya mein samona chaha
wahi afsane meri samt rawan hain ab tak
wahi shoale mere sine mein nihan hain ab tak
wahi ba-sud KHalish hai mere sine mein hanuz
wahi bekar tamannaen jawan hain ab tak
wahi gesu meri raaton pe hain bikhre bikhre
wahi aanhken meri jaanib nigran hain ab tak
kasrat-e-gham bhi mere gham ka mudawa na hui
mere bechain KHayalon ko sukun mil na saka
dil ne duniya ke har ek dard ko apna to liya
muzmahil ruh ko andaz-e-junun mil na saka
meri taKHayyul ka shiraaza-e-barham hai wahi
mere bujhte hue ehsas ka aalam hai wahi
wahi be-jaan irade wahi be-rang sawal
wahi be-ruh kashakash wahi bechain KHayal
aah is kashmakash subh o masa ka anjam
main bhi nakaam meri sai amal bhi nakaam
- Book : Kulliyat-e-Sahir (Pg. 50)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.