nala sarmaya-e-yak-alam
koī bhūlī huī sūrat koī bisrā huā ḳhvāb
shab ke sannāTe meñ khulne lage ehsās ke baab
koī naġhma mirī ḳhāmosh mohabbat ke rabāb
ye umīdoñ kī kashākash ye tamannāoñ ke jaal
jaane kis raah se guzregī umīdoñ kī barāt
fāsle baḌhte ga.e shauq-e-subuk-gām ke saath
tū hī bol ai mirī mahrūmī kī baḌhtī huī raat
kitnī duur aur hai vo shahr-e-tarab ḳhuld-e-visāl
kahāñ DhūñDūñ tujhe ai sūrat-e-zebā-e-ḳhayāl
shab kī āġhosh meñ ḳhvābīda haiñ be-nūr anjum
shauq ke haath meñ TuuTe hue paimāna-o-ḳhum
aarzū vaqt ke phaile hue sahrāoñ meñ gum
kin hijābāt meñ rū-posh hai ai sub.h-e-jamāl
ek choT ek ḳhalish zauq-e-tajassus kā ma.aal
koi bhuli hui surat koi bisra hua KHwab
shab ke sannaTe mein khulne lage ehsas ke bab
koi naghma meri KHamosh mohabbat ke rabab
ye umidon ki kashakash ye tamannaon ke jal
jaane kis rah se guzregi umidon ki baraat
fasle baDhte gae shauq-e-subuk-gam ke sath
tu hi bol ai meri mahrumi ki baDhti hui raat
kitni dur aur hai wo shahr-e-tarab KHuld-e-visal
kahan DhunDun tujhe ai surat-e-zeba-e-KHayal
shab ki aaghosh mein KHwabida hain be-nur anjum
shauq ke hath mein TuTe hue paimana-o-KHum
aarzu waqt ke phaile hue sahraon mein gum
kin hijabaat mein ru-posh hai ai subh-e-jamal
ek choT ek KHalish zauq-e-tajassus ka maal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.