nam kya lun
ek aurat jo mere liye muddatoñ
sham.a kī tarah aañsū bahātī rahī
merī ḳhātir zamāne se muñh moḌ kar
mere hī pyaar ke giit gaatī rahī
mere ġham ko muqaddar banā.e hue
muskurātī rahī
us ke ġham kī kabhī maiñ ne parvā na kī
us ne har haal meñ naam merā liyā
chhīn kar us ke hoñToñ kī maiñ ne hañsī
terī dahlīz par apnā sar rakh diyā
tū ne merī tarah merā dil toḌ kar
mujh pe ehsāñ kiyā
ek aurat jo mere liye muddaton
shama ki tarah aansu bahati rahi
meri KHatir zamane se munh moD kar
mere hi pyar ke git gati rahi
mere gham ko muqaddar banae hue
muskuraati rahi
us ke gham ki kabhi main ne parwa na ki
us ne har haal mein nam mera liya
chhin kar us ke honTon ki main ne hansi
teri dahliz par apna sar rakh diya
tu ne meri tarah mera dil toD kar
mujh pe ehsan kiya
- Book : kulliyat-e-habib jaalib (Pg. 133)
- Author : habib jaalib
- Publication : Tahir publishar,lahore (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.