Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nam-o-nang

Abdul Majeed Bhatti

nam-o-nang

Abdul Majeed Bhatti

MORE BYAbdul Majeed Bhatti

    bartarī apnī kyā jatātā hai

    ye kamā.ī to bhī khātā hai

    itnā kahnā dalīl hai goyā

    aur bhī asiil hai goyā

    do sharīfoñ sun ke ye takrār

    maiñ khaḌā rah gayā sar-e-bāzār

    aur hairat meñ aisā ġharq huā

    kal-adam ek ek farq huā

    nāzish-o-asl-o-rañg ke afsūñ

    ġhairat-e-nām-o-nañg ke afsūñ

    maiñ yahāñ bhī sabhī qarīnoñ meñ

    ek dhaḌkaneñ haiñ sīnoñ meñ

    kasb-e-majbūr par bhī ye ehsās

    izzat-e-nafs aur vaz.a paas

    aisā bātil tilism-e-rañg huā

    munhadim qasr-e-nām-o-nañg huā

    is tarah miT ga.iiñ mirī aqdār

    qahqaha ban ga.e dar-o-dīvār

    ḳhāndānī shanāḳhteñ mat pūchh

    izzateñ aur sharāfateñ mat pūchho

    bartari apni kya jatata hai

    ye kamai to tu bhi khata hai

    itna kahna dalil hai goya

    aur tu bhi asil hai goya

    do sharifon ki sun ke ye takrar

    main khaDa rah gaya sar-e-bazar

    aur hairat mein aisa gharq hua

    kal-adam ek ek farq hua

    nazish-o-asl-o-rang ke afsun

    ghairat-e-nam-o-nang ke afsun

    main yahan bhi sabhi qarinon mein

    ek si dhaDkanen hain sinon mein

    kasb-e-majbur par bhi ye ehsas

    izzat-e-nafs aur waza ka pas

    aisa baatil tilism-e-rang hua

    munhadim qasr-e-nam-o-nang hua

    is tarah miT gain meri aqdar

    qahqaha ban gae dar-o-diwar

    KHandani shanaKHten mat puchh

    izzaten aur sharafaten mat puchho

    Source :
    • Naam-o-Nang
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now