nam o nasab
ai mirā naam o nasab pūchhne vaale sun le
mere ajdād kī qabroñ ke purāne katbe
jin kī tahrīr mah o saal ke fitnoñ kī naqīb
jin kī bosīda sileñ sīm-zada shor-zada
aur aaseb zamāne ki rahe jin kā nasīb
pusht-dar-pusht bilā fasl vo ajdād mire
apne āqāoñ kī manshā thī mashiyyat un kī
gar vo zinda the to zindoñ meñ vo shāmil kab the
aur marne pe faqat bojh thī mayyat un kī
jin ko maktab se lagāo thā na maqtal kī ḳhabar
jo na zālim the na zālim ke muqābil aa.e
jin kī masnad pe nazar thī na hī zindāñ kā safar
ai mirā naam o nasab pūchhne vaale sun le
aise be-dām ġhulāmoñ kī nishānī maiñ huuñ
ai mera nam o nasab puchhne wale sun le
mere ajdad ki qabron ke purane katbe
jin ki tahrir mah o sal ke fitnon ki naqib
jin ki bosida silen sim-zada shor-zada
aur aaseb zamane ki rahe jin ka nasib
pusht-dar-pusht bila fasl wo ajdad mere
apne aaqaon ki mansha thi mashiyyat un ki
gar wo zinda the to zindon mein wo shamil kab the
aur marne pe faqat bojh thi mayyat un ki
jin ko maktab se lagao tha na maqtal ki KHabar
jo na zalim the na zalim ke muqabil aae
jin ki masnad pe nazar thi na hi zindan ka safar
ai mera nam o nasab puchhne wale sun le
aise be-dam ghulamon ki nishani main hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.