nam us ka
naam jab letā huuñ hoñToñ par zabāñ ko phertā huuñ kyuuñ ki
us ke naam meñ us kī zabāñ us ke laboñ kā zā.iqa hai
jab badan vo naam letā hai to aise jhunjhunātā hai ki jaise
us kī zahrī uñgliyoñ ne chhū liyā ho
naam us kā us ke apne bāzuoñ ke dā.ere kī tarah
shorīda-badan ko ghertā hai
naam us kā pāniyoñ meñ ghol kar pī lo zabāñ luknat-zada
ho jaa.e hai, āñkheñ alag chaḌh jaa.eñ haiñ, jī kuchh kahe
lab kuchh kahe hai,
naam us kā zānū-e-nākatḳhadā.ī par likhe se chhātiyoñ
meñ duudh chhalkāne lage haiñ
naam us kā siyāhiyoñ meñ gholne se sher lā-fānī likhe hai
naam banjar dhartiyoñ meñ thoḌā thoḌā sā chhiḌak dene se
har pal bel-būTe khīñch de hai
naam us harjā.ī kā lene se har sāñkal khule hai
us ko us ke naam se āvāz de diije to chāroñ samt
jo koī sune hai us ke lākhoñ naam dohrāne lage hai
aur kabhī us naam ke sunte hī andar se koī pūchhe hai
kis kā naam lo ho
aur tab ehsās hove hai ki us kā ho ki apnā ho
vahī ik naam to hai
aur tab ehsās hove hai vo ham meñ hai ki us kā naam
ham haiñ
aur tab ehsās hove hai ki yūsuf se zuleḳhā shaam se
rādhā ke hijje hī judā haiñ varna chāroñ
kā tamāsha ek sā hai
nam jab leta hun honTon par zaban ko pherta hun kyun ki
us ke nam mein us ki zaban us ke labon ka zaiqa hai
jab badan wo nam leta hai to aise jhunjhunata hai ki jaise
us ki zahri ungliyon ne chhu liya ho
nam us ka us ke apne bazuon ke daere ki tarah
shorida-badan ko gherta hai
nam us ka paniyon mein ghol kar pi lo zaban luknat-zada
ho jae hai, aankhen alag chaDh jaen hain, ji kuchh kahe
lab kuchh kahe hai,
nam us ka zanu-e-nakatKHadai par likhe se chhatiyon
mein dudh chhalkane lage hain
nam us ka siyahiyon mein gholne se sher la-fani likhe hai
nam banjar dhartiyon mein thoDa thoDa sa chhiDak dene se
har pal bel-buTe khinch de hai
nam us harjai ka lene se har sankal khule hai
us ko us ke nam se aawaz de dije to chaaron samt
jo koi sune hai us ke lakhon nam dohrane lage hai
aur kabhi us nam ke sunte hi andar se koi puchhe hai
kis ka nam lo ho
aur tab ehsas howe hai ki us ka ho ki apna ho
wahi ek nam to hai
aur tab ehsas howe hai wo hum mein hai ki us ka nam
hum hain
aur tab ehsas howe hai ki yusuf se zuleKHa sham se
radha ke hijje hi juda hain warna chaaron
ka tamasha ek sa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.