nama-e-ishq hai KHuda ke nam
maiñ bhī anjān thā
tum bhī anjān the
log hairān the
ishq āsān thā
ishq āsān thā
us kī uftād mushkil
na thī is qadar
abr kī chhāñv meñ
yuuñ chale jā rahe
the na.e ham-safar
us ke aage magar
the ajab silsile
phir kaḌe kos the
phir kaThin thī Dagar
duur tak be-karāñ
reg-e-sahrā thī phailī huī
aisī āñdhī chalī
maiñ bhī thā be-amāñ
tum bhī the dar-ba-dar
log the be-ḳhabar
ishq hairān thā
maiñ kahīñ kho gayā
tum kahīñ jā base
phuul khilte rahe
log milte rahe
par na mil paa.e ham
ai mire ham-safar phir na kahnā kabhī
ishq āsān thā ishq āsān hai
vaqt apne kiye par pashemān thā
kab pashemān hai
haañ vo apnā ḳhudā jo nigahbān thā
vo nigahbān hai
main bhi anjaan tha
tum bhi anjaan the
log hairan the
ishq aasan tha
ishq aasan tha
us ki uftad mushkil
na thi is qadar
abr ki chhanw mein
yun chale ja rahe
the nae ham-safar
us ke aage magar
the ajab silsile
phir kaDe kos the
phir kaThin thi Dagar
dur tak be-karan
reg-e-sahra thi phaili hui
aisi aandhi chali
main bhi tha be-aman
tum bhi the dar-ba-dar
log the be-KHabar
ishq hairan tha
main kahin kho gaya
tum kahin ja base
phul khilte rahe
log milte rahe
par na mil pae hum
ai mere ham-safar phir na kahna kabhi
ishq aasan tha ishq aasan hai
waqt apne kiye par pasheman tha
kab pasheman hai
han wo apna KHuda jo nigahban tha
wo nigahban hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.