nama-e-jaanan
muddatoñ ba.ad milā nāma-e-jānāñ lekin
na koī dil kī hikāyat na koī pyaar kī baat
na kisī harf meñ mahrūmi-e-jāñ kā qissa
na kisī lafz meñ bhūle hue iqrār kī baat
na kisī satr pe bhīge hue kājal kī lakīr
na kahīñ zikr judā.ī kā na dīdār kī baat
bas vahī ek hī mazmūñ ki mire shahr ke log
kaise sahme hue rahte haiñ gharoñ meñ apne
itnī be-nām ḳhamoshī hai ki dīvāne bhī
koī saudā nahīñ rakhte haiñ saroñ meñ apne
ab qafas hī ko nasheman kā badal jaan liyā
ab kahāñ tāqat-e-parvāz paroñ meñ apne
vo jo do chaar subū-kash the ki jin ke dam se
gardish-e-jām bhī thī raunaq-e-mai-ḳhāna bhī thī
vo jo do chaar navā-gar the ki jin ke hote
hurmat-e-naġhma bhī thī jur.at-e-rindāna bhī thī
koī maqtal koī zindāñ koī pardes gayā
chand hī the ki ravish jin kī judāgāna bhī thī
ab to bas burda-farosh hai jidhar bhī jaao
ab to har kūcha-o-kū misr kā bāzār lage
sar-e-darbār sitāda haiñ bayāzeñ le kar
vo jo kuchh dost kabhī sāhab-e-kirdār lage
ġhairat-e-ishq ki kal māl-e-tijārat meñ na thī
aaj dekho ki haiñ ambār ke ambār lage
aisā āseb-zada shahr ki dekhā na sunā
aisī dahshat hai ki patthar hue sab ke baazū
dar-o-dīvār-e-ḳharābāt vahī haiñ lekin
na kahīñ qulqul-e-mīnā hai na gul-bāñg-e-subū
be-dilī sheva-e-arbāb-e-mohabbat Thahrā
ab koī aa.e ki jaa.e ''tananāhū-yāhū''
muddaton baad mila nama-e-jaanan lekin
na koi dil ki hikayat na koi pyar ki baat
na kisi harf mein mahrumi-e-jaan ka qissa
na kisi lafz mein bhule hue iqrar ki baat
na kisi satr pe bhige hue kajal ki lakir
na kahin zikr judai ka na didar ki baat
bas wahi ek hi mazmun ki mere shahr ke log
kaise sahme hue rahte hain gharon mein apne
itni be-nam KHamoshi hai ki diwane bhi
koi sauda nahin rakhte hain saron mein apne
ab qafas hi ko nasheman ka badal jaan liya
ab kahan taqat-e-parwaz paron mein apne
wo jo do chaar subu-kash the ki jin ke dam se
gardish-e-jam bhi thi raunaq-e-mai-KHana bhi thi
wo jo do chaar nawa-gar the ki jin ke hote
hurmat-e-naghma bhi thi jurat-e-rindana bhi thi
koi maqtal koi zindan koi pardes gaya
chand hi the ki rawish jin ki judagana bhi thi
ab to bas burda-farosh hai jidhar bhi jao
ab to har kucha-o-ku misr ka bazar lage
sar-e-darbar sitada hain bayazen le kar
wo jo kuchh dost kabhi sahab-e-kirdar lage
ghairat-e-ishq ki kal mal-e-tijarat mein na thi
aaj dekho ki hain ambar ke ambar lage
aisa aaseb-zada shahr ki dekha na suna
aisi dahshat hai ki patthar hue sab ke bazu
dar-o-diwar-e-KHarabaat wahi hain lekin
na kahin qulqul-e-mina hai na gul-bang-e-subu
be-dili shewa-e-arbab-e-mohabbat Thahra
ab koi aae ki jae tananahu-yahu
- Book : kulliyate ahamd faraaz (Pg. 701)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.