Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nanak

Allama Iqbal

nanak

Allama Iqbal

Interesting Fact

Nazm from Bang-e-Dara

qaum ne paiġhām-e-gautam zarā parvā na

qadr pahchānī na apne gauhar-e-yak-dāna

aah bad-qismat rahe āvāz-e-haq se be-ḳhabar

ġhāfil apne phal shīrīnī se hotā hai shajar

āshkār us ne kiyā jo zindagī raaz thā

hind ko lekin ḳhayālī falsafa par naaz thā

sham-e-haq se jo munavvar ho ye vo mahfil na thī

bārish-e-rahmat huī lekin zamīñ qābil na thī

aah shūdar ke liye hindostāñ ġham-ḳhāna hai

dard-e-insānī se is bastī dil begāna hai

barhaman sarshār hai ab tak mai-e-pindār meñ

sham-e-gautam jal rahī hai mahfil-e-aġhyār meñ

but-kada phir baad muddat ke magar raushan huā

nūr-e-ibrāhīm se aazar ghar raushan huā

phir uThī āḳhir sadā tauhīd punjab se

hind ko ik mard-e-kāmil ne jagāyā ḳhvāb se

qaum ne paigham-e-gautam ki zara parwa na ki

qadr pahchani na apne gauhar-e-yak-dana ki

aah bad-qismat rahe aawaz-e-haq se be-KHabar

ghafil apne phal ki shirini se hota hai shajar

aashkar us ne kiya jo zindagi ka raaz tha

hind ko lekin KHayali falsafa par naz tha

sham-e-haq se jo munawwar ho ye wo mahfil na thi

barish-e-rahmat hui lekin zamin qabil na thi

aah shudar ke liye hindostan gham-KHana hai

dard-e-insani se is basti ka dil begana hai

barhaman sarshaar hai ab tak mai-e-pindar mein

sham-e-gautam jal rahi hai mahfil-e-aghyar mein

but-kada phir baad muddat ke magar raushan hua

nur-e-ibrahim se aazar ka ghar raushan hua

phir uThi aaKHir sada tauhid ki punjab se

hind ko ek mard-e-kaamil ne jagaya KHwab se

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

nanak Nomaan Shauque

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now