nanak
qaum ne paiġhām-e-gautam kī zarā parvā na kī
qadr pahchānī na apne gauhar-e-yak-dāna kī
aah bad-qismat rahe āvāz-e-haq se be-ḳhabar
ġhāfil apne phal kī shīrīnī se hotā hai shajar
āshkār us ne kiyā jo zindagī kā raaz thā
hind ko lekin ḳhayālī falsafe par naaz thā
sham-e-haq se jo munavvar ho ye vo mahfil na thī
bārish-e-rahmat huī lekin zamīñ qābil na thī
aah shūdar ke liye hindostāñ ġham-ḳhāna hai
dard-e-insānī se is bastī kā dil begāna hai
barahman sarshār hai ab tak mai-e-pindār meñ
sham-e-gautam jal rahī hai mahfil-e-aġhyār meñ
but-kada phir ba.ad-e-muddat ke magar raushan huā
nūr-e-ibrāhīm se aazar kā ghar raushan huā
phir uThī āḳhir sadā tauhīd kī punjab se
hind ko ik mard-e-kāmil ne jagāyā ḳhvāb se
qaum ne paigham-e-gautam ki zara parwa na ki
qadr pahchani na apne gauhar-e-yak-dana ki
aah bad-qismat rahe aawaz-e-haq se be-KHabar
ghafil apne phal ki shirini se hota hai shajar
aashkar us ne kiya jo zindagi ka raaz tha
hind ko lekin KHayali falsafe par naz tha
sham-e-haq se jo munawwar ho ye wo mahfil na thi
barish-e-rahmat hui lekin zamin qabil na thi
aah shudar ke liye hindostan gham-KHana hai
dard-e-insani se is basti ka dil begana hai
barahman sarshaar hai ab tak mai-e-pindar mein
sham-e-gautam jal rahi hai mahfil-e-aghyar mein
but-kada phir baad-e-muddat ke magar raushan hua
nur-e-ibrahim se aazar ka ghar raushan hua
phir uThi aaKHir sada tauhid ki punjab se
hind ko ek mard-e-kaamil ne jagaya KHwab se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.