nani-aman ki wafat par ek nazm
aaj bachpan ko dafn kar aa.e
mohnī jhurriyāñ subuk āñkheñ
mehrbāñ shafqatoñ se pur chehra
thapkiyāñ dete haath narm āġhosh
chāhateñ dekh-bhāl pyaar dulār
saare kumbe kī fikr sab kā ḳhayāl
rābte rishte-dāriyāñ naate
ḳhātireñ vaz.a-dāriyāñ mehmāñ
martabe haisiyat hisāb-nisāb
nazm-o-tartīb ghar ke iḳhrājāt
maut mayyat byaah paidā.ish
ta.aziyat tahniyat ke chāl-chalan
chhuTTī ā.shūra iid aur barāt
har baḌe chhoTe din kā pas-o-lihāz
roze nafleñ vazīfe tasbīheñ
sadqa minnat murād pīr-faqīr
ḳhair-ḳhairāt baḳhshisheñ nazreñ
lāg-lag len-den mel-milāp
pūchh-gachh rakh-rakhāv rīt-rivāj
raunaqeñ ḳhush-kalāmiyāñ ādāb
raat qisse kahāniyāñ chuhleñ
mez almārī pandān palañg
zā.iqe rañg ḳhushbueñ chehre
in mohalloñ kā ḳhushnumā māhaul
in gharoñ kī rivāyatī tahzīb
aaj ik daur jaise Duub gayā
aaj tiflī kā saath chhūT gayā
aaj bachpan ko dafn kar aa.e
aaj bachpan ko dafn kar aae
mohni jhurriyan subuk aankhen
mehrban shafqaton se pur chehra
thapkiyan dete hath narm aaghosh
chahaten dekh-bhaal pyar dular
sare kumbe ki fikr sab ka KHayal
rabte rishte-dariyan nate
KHatiren waza-dariyan mehman
martabe haisiyat hisab-nisab
nazm-o-tartib ghar ke iKHrajat
maut mayyat byah paidaish
taziyat tahniyat ke chaal-chalan
chhuTTi aashura id aur baraat
har baDe chhoTe din ka pas-o-lihaz
roze naflen wazife tasbihen
sadqa minnat murad pir-faqir
KHair-KHairaat baKHshishen nazren
lag-lag len-den mel-milap
puchh-gachh rakh-rakhaw rit-riwaj
raunaqen KHush-kalamiyan aadab
raat qisse kahaniyan chuhlen
mez almari pandan palang
zaiqe rang KHushbuen chehre
in mohallon ka KHushnuma mahaul
in gharon ki riwayati tahzib
aaj ek daur jaise Dub gaya
aaj tifli ka sath chhuT gaya
aaj bachpan ko dafn kar aae
- Book : khamoshi bol uthi hai (Pg. 158)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.