nara-e-urdu
mere har lafz meñ hai kausar-o-gañgā kā lahū
adab-o-fan hī haiñ bikhre hue mere gesū
chaman-e-sharq meñ raqsinda haiñ merī ḳhushbū
daulat-e-ilm se ābād hai merā pahlū
ḳhūn-e-dil se dur-e-shahvār kiye haiñ paidā
maiñ ne har ahd maiñ fankār kiye haiñ paidā
merī zulfoñ ko 'valī' ne bhī sañvārā thā kabhī
mujh ko 'hālī' ne mohabbat se pukārā thā kabhī
'shefta' ne mirī kashtī ko ubhārā thā kabhī
'mus.hafī' ne mire chehre ko nikhārā thā kabhī
'zauq'-o-'momin' ne mirā saaz bajāyā barsoñ
'dāġh' ne apne kaleje se lagāyā barsoñ
yaad to hoñge zamāne ko vo 'inshā'-o-'nazīr'
yaad to hoñge zamāne ko vo 'mīr' aur 'amīr'
yaad to hoñge zamāne ko vo 'mehr' aur 'munīr'
yaad to hoñge zamāne ko 'anīs' aur 'dabīr'
mujh ko 'chakbast' ne 'jauhar' ne 'sharar' ne paalā
maiñ huuñ jis ko ki shahanshāh-'zafar' ne paalā
mere āġhosh meñ pinhāñ hai matā-e-'sā.il'
ab bhī 'sīmāb' se raqsinda hai merī mahfil
aaj bhī 'barq' se raḳhshanda hai merī manzil
ab bhī baaqī haiñ 'firāq'-o-'jigar'-o-'sāġhar'-o'dil'
apne hāthoñ meñ bahārāñ kā uThā.e hue saaz
aaj bhī hai mirī mahfil meñ balā-nosh 'majāz'
'asġhar'-o-'akbar'-o-'ahsan' kī bhī dam-sāz huuñ maiñ
jis ko 'tulsī' ne bajāyā thā vahī saaz huuñ maiñ
aaj bhī 'kaifī'-o-'mahrūm' kī āvāz huuñ maiñ
aaj bhī 'sāhir'o-'sardār' kā e.ajāz huuñ maiñ
falsafa mere sahīfe meñ hai hikmat bhī hai
aarzū bhī mire āġhosh meñ hasrat bhī hai
ab bhī abbās kā parcham hai mirī mahfil meñ
jāda-paimā hai 'niyāz' ab bhī mirī manzil meñ
ab bhī kaam aatā hai āzār mirī mushkil meñ
'āzmī' aaj bhī ḳhandīda hai mere dil meñ
ab bhī zau-rezī-e-'aḳhtar' hai mirī bātoñ meñ
aaj bhī kirshn kī murlī hai mire hāthoñ meñ
aaj be-kaif huuñ be-rañg huuñ behāl huuñ maiñ
ḳhud yagānoñ kī nigāhoñ se bhī pāmāl huuñ maiñ
un se kah de ye koī ātish-e-sayyāl huuñ maiñ
'josh' kā josh huuñ 'iqbāl' kā iqbāl huuñ maiñ
mere āġhosh meñ 'ġhālib' bhī haiñ 'sarshār' bhī haiñ
is na.e daur ke āġhāz meñ 'iz.hār' bhī haiñ
mere har lafz mein hai kausar-o-ganga ka lahu
adab-o-fan hi hain bikhre hue mere gesu
chaman-e-sharq mein raqsinda hain meri KHushbu
daulat-e-ilm se aabaad hai mera pahlu
KHun-e-dil se dur-e-shahwar kiye hain paida
main ne har ahd main fankar kiye hain paida
meri zulfon ko 'wali' ne bhi sanwara tha kabhi
mujh ko 'haali' ne mohabbat se pukara tha kabhi
'shefta' ne meri kashti ko ubhaara tha kabhi
'mushafi' ne mere chehre ko nikhaara tha kabhi
'zauq'-o-'momin' ne mera saz bajaya barson
'dagh' ne apne kaleje se lagaya barson
yaad to honge zamane ko wo 'insha'-o-'nazir'
yaad to honge zamane ko wo 'mir' aur 'amir'
yaad to honge zamane ko wo 'mehr' aur 'munir'
yaad to honge zamane ko 'anis' aur 'dabir'
mujh ko 'chakbast' ne 'jauhar' ne 'sharar' ne pala
main hun jis ko ki shahanshah-'zafar' ne pala
mere aaghosh mein pinhan hai mata-e-'sail'
ab bhi 'simab' se raqsinda hai meri mahfil
aaj bhi 'barq' se raKHshanda hai meri manzil
ab bhi baqi hain 'firaq'-o-'jigar'-o-'saghar'-o'dil'
apne hathon mein bahaaran ka uThae hue saz
aaj bhi hai meri mahfil mein bala-nosh 'majaz'
'asghar'-o-'akbar'-o-'ahsan' ki bhi dam-saz hun main
jis ko 'tulsi' ne bajaya tha wahi saz hun main
aaj bhi 'kaifi'-o-'mahrum' ki aawaz hun main
aaj bhi 'sahir'o-'sardar' ka eajaz hun main
falsafa mere sahife mein hai hikmat bhi hai
aarzu bhi mere aaghosh mein hasrat bhi hai
ab bhi abbas ka parcham hai meri mahfil mein
jada-paima hai 'niyaz' ab bhi meri manzil mein
ab bhi kaam aata hai aazar meri mushkil mein
'azmi' aaj bhi KHandida hai mere dil mein
ab bhi zau-rezi-e-'aKHtar' hai meri baaton mein
aaj bhi kirshn ki murli hai mere hathon mein
aaj be-kaif hun be-rang hun behaal hun main
KHud yaganon ki nigahon se bhi pamal hun main
un se kah de ye koi aatish-e-sayyal hun main
'josh' ka josh hun 'iqbaal' ka iqbaal hun main
mere aaghosh mein 'ghaalib' bhi hain 'sarshaar' bhi hain
is nae daur ke aaghaz mein 'izhaar' bhi hain
- Naye Tarane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.