nostalgia
ka.ī girheñ ki jin ko kholne kī zid meñ
apne nāḳhunoñ ko ham gañvā baiThe
ka.ī bāteñ ki jin ko bāñdhne kī koshishoñ meñ
moch aa.ī thī kalā.ī meñ
ka.ī chehre ki jin ke ḳhāl-o-ḳhat ko ham
miTāne ke jatan meñ
dhote rahte the barābar apne lauh-e-chashm
ab bhī gher lete haiñ
guzarte vaqt ne har tajrabe ko kah ke bachkāna
hameñ qaa.il kiyā lekin
abhī tak ungliyoñ kī Tiis taḌpātī hai rah rah kar
laraztī hai kalā.ī ab bhī
lauh-e-chashm par har naqsh vāzeh-tar hai pahle se
kai girhen ki jin ko kholne ki zid mein
apne naKHunon ko hum ganwa baiThe
kai baaten ki jin ko bandhne ki koshishon mein
moch aai thi kalai mein
kai chehre ki jin ke KHal-o-KHat ko hum
miTane ke jatan mein
dhote rahte the barabar apne lauh-e-chashm
ab bhi gher lete hain
guzarte waqt ne har tajrabe ko kah ke bachkana
hamein qail kiya lekin
abhi tak ungliyon ki Tis taDpati hai rah rah kar
larazti hai kalai ab bhi
lauh-e-chashm par har naqsh wazeh-tar hai pahle se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.