naTak
rut badlī to bhañvaroñ ne titlī se kahā
aaj se tum āzād ho
parvāzoñ kī saarī samteñ tumhāre naam huiiñ
jaao
jañgal kī maġhrūr havā ke saath uḌo
bādal ke hamrāh sitāre chhū aao
ḳhushbū ke baazū thāmo aur raqs karo
raqs karo
ki is mausam ke sūraj kī kirnoñ kā taaj tumhāre sar hai
lahrāo
ki in rātoñ kā chāñd tumhārī peshānī par apne haath se duā likhegā
gaao
in lamhoñ kī havā.eñ tum ko tumhāre gītoñ par sangīt deñgī
patte kaḌe bajā.eñge
aur phūloñ ke hāthoñ meñ daf hogā
titlī ma.asūmāna hairat se sarshār
siyah shāḳhoñ ke halqe se niklī
sadiyoñ ke jakḌe hue reshmī par phailā.e aur uḌne lagī
khulī fazā kā zā.iqa chakkhā
narm havā kā giit sunā
an-dekhe kohsāroñ kī qāmat naapī
raushniyoñ kā lams piyā
ḳhushbū ke har rang ko chhū kar dekhā
lekin rang havā aur ḳhushbū kā vijdān adhūrā thā
ki raqs kā mausam Thahar gayā
rut badlī
aur sūraj kī kirnoñ kā taaj pighalne lagā
chāñd ke haath duā ke harf hī bhuul ga.e
havā ke lab barfīle sumoñ meñ niile paḌ kar apnī sadā.eñ kho baiThe
pattoñ kī bāñhoñ ke sar be-rang hue
aur tanhā rah ga.e phūloñ ke haath
barf kī lahr ke hāthoñ titlī ko lauT aane kā paiġhām gayā
bhauñre shabnam kī zanjīreñ le kar dauḌe
aur bechain paroñ meñ an-chakhī parvāzoñ kī āshufta pyaas jalā dī
apne kaale nāḳhūnoñ se
titlī ke par noch ke bole
ahmaq laḌkī
ghar vāpas aa jaao
nāTak ḳhatm huā
ḳhvātīn kā ālamī saal
rut badli to bhanwaron ne titli se kaha
aaj se tum aazad ho
parwazon ki sari samten tumhaare nam huin
jao
jangal ki maghrur hawa ke sath uDo
baadal ke hamrah sitare chhu aao
KHushbu ke bazu thamo aur raqs karo
raqs karo
ki is mausam ke suraj ki kirnon ka taj tumhaare sar hai
lahrao
ki in raaton ka chand tumhaari peshani par apne hath se dua likhega
gao
in lamhon ki hawaen tum ko tumhaare giton par sangit dengi
patte kaDe bajaenge
aur phulon ke hathon mein daf hoga
titli masumana hairat se sarshaar
siyah shaKHon ke halqe se nikli
sadiyon ke jakDe hue reshmi par phailae aur uDne lagi
khuli faza ka zaiqa chakkha
narm hawa ka git suna
an-dekhe kohsaron ki qamat napi
raushniyon ka lams piya
KHushbu ke har rang ko chhu kar dekha
lekin rang hawa aur KHushbu ka wijdan adhura tha
ki raqs ka mausam Thahar gaya
rut badli
aur suraj ki kirnon ka taj pighalne laga
chand ke hath dua ke harf hi bhul gae
hawa ke lab barfile sumon mein nile paD kar apni sadaen kho baiThe
patton ki banhon ke sar be-rang hue
aur tanha rah gae phulon ke hath
barf ki lahr ke hathon titli ko lauT aane ka paigham gaya
bhaunre shabnam ki zanjiren le kar dauDe
aur bechain paron mein an-chakhi parwazon ki aashufta pyas jala di
apne kale naKHunon se
titli ke par noch ke bole
ahmaq laDki
ghar wapas aa jao
naTak KHatm hua
KHwatin ka aalami sal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.