nayaft
tum ham se milo ham shorīda
harfoñ kī bunat ke girvīda
mizhgāñ pe abad kī ḳhaak liye
ik chaak ghumāte rahte haiñ
siine ke aave meñ rakkhe
ham kūza-garoñ ne ḳhvāb apne
ye gaarā qarnoñ sadiyoñ se
ik dhīmī aañch meñ paktā hai
ye aavā yūñhī jaltā hai
tum ham se milo ham shorīda
aflāk se uljhe baiThe haiñ
tum hum se milo hum shorida
harfon ki bunat ke girwida
mizhgan pe abad ki KHak liye
ek chaak ghumate rahte hain
sine ke aawe mein rakkhe
hum kuza-garon ne KHwab apne
ye gara qarnon sadiyon se
ek dhimi aanch mein pakta hai
ye aawa yunhi jalta hai
tum hum se milo hum shorida
aflak se uljhe baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.