nadamat
ham jo ik jaañ ke safar par haiñ ravāñ barsoñ se
ham ko mālūm nahīñ kab aur kahāñ ḳhatm ho ye
ham to bas tishna-dahan lab-ba-duā kushta-e-ġham
apne hone hī meñ gum paḌh na sake haiñ ab tak
vaqt ke bāb-e-nadāmat meñ nihāñ tahrīreñ
un ko paḌh lete to shāyad na yuuñ hairāñ hote
ik tamāshe kī tarah vaqt pe uryāñ hote
apnī ḳhvāhish ko sar-e-bazm na rusvā karte
apne lamhoñ ko kisī taur na zindāñ karte
hum jo ek jaan ke safar par hain rawan barson se
hum ko malum nahin kab aur kahan KHatm ho ye
hum to bas tishna-dahan lab-ba-dua kushta-e-gham
apne hone hi mein gum paDh na sake hain ab tak
waqt ke bab-e-nadamat mein nihan tahriren
un ko paDh lete to shayad na yun hairan hote
ek tamashe ki tarah waqt pe uryan hote
apni KHwahish ko sar-e-bazm na ruswa karte
apne lamhon ko kisi taur na zindan karte
- Book : Pakistani Adab (Pg. 215)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.