nadi
maiñ nadī huuñ aur mujhe faḳhr hai is baat kā ki maiñ nadī huuñ
chalte rahnā merī aadat hai
apne rāste ḳhud banānā aatā hai mujhe aur achchhā bhī lagtā hai
maiñ nahīñ chāhtī ki koī ek dā.era khīñch ke batā de mujhe
ki ab tā-umr mujhe yahīñ rahnā hai
ek chhoTā sā gol sā mahfūz dā.era
jahāñ nā mujhe pattharoñ se Takrānā hogā
nā hī apne vajūd ko qaa.em rakhne ke liye roz roz jañg laḌnī hogī
merā vajūd sirf paanī se nahīñ banā
merī āzādī merī himmat aur merā junūn
ye sab mil ke banāte haiñ mujhe aur ma.alūm hai mujhe
ki har-pal har lamha
maiñ us manzil kī taraf baḌh rahī huuñ
jahāñ maut ko intizār hai merā
phir bhī maiñ dhīre nahīñ chalnā chāhtī huuñ
balki lamha-dar-lamha merī raftār baḌhtī jā rahī hai
main nadi hun aur mujhe faKHr hai is baat ka ki main nadi hun
chalte rahna meri aadat hai
apne raste KHud banana aata hai mujhe aur achchha bhi lagta hai
main nahin chahti ki koi ek daera khinch ke bata de mujhe
ki ab ta-umr mujhe yahin rahna hai
ek chhoTa sa gol sa mahfuz daera
jahan na mujhe pattharon se Takrana hoga
na hi apne wajud ko qaem rakhne ke liye roz roz jang laDni hogi
mera wajud sirf pani se nahin bana
meri aazadi meri himmat aur mera junun
ye sab mil ke banate hain mujhe aur malum hai mujhe
ki har-pal har lamha
main us manzil ki taraf baDh rahi hun
jahan maut ko intizar hai mera
phir bhi main dhire nahin chalna chahti hun
balki lamha-dar-lamha meri raftar baDhti ja rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.