nadiya
kal kal kartī jaatī nadiyā
kitnī hañstī gaatī nadiyā
jīvan kā sañgīt sunātī
bal khātī sharmātī nadiyā
paanī se bhar jaatī hai jab
sāgar meñ mil jaatī nadiyā
maujeñ lahreñ jhilmil jhilmil
sab ke dil ko bhātī nadiyā
apne ġham ko sah jaatī hai
har dam hañstī gaatī nadiyā
sukh dukh ko ho sāthī jaise
raah meñ aatī jaatī nadiyā
kal kal karti jati nadiya
kitni hansti gati nadiya
jiwan ka sangit sunati
bal khati sharmati nadiya
pani se bhar jati hai jab
sagar mein mil jati nadiya
maujen lahren jhilmil jhilmil
sab ke dil ko bhati nadiya
apne gham ko sah jati hai
har dam hansti gati nadiya
sukh dukh ko ho sathi jaise
rah mein aati jati nadiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.