nae KHake
Interesting Fact
gaandhi aur jinnah kii mulaaqaat ke moqe par
nuqūsh-e-hasrat miTā ke uThnā, ḳhushī kā parcham uḌā ke uThnā
milā ke sar baiThnā mubārak tarāna-e-fat.h gā ke uThnā
ye guftugū guftugū nahīñ hai bigaḌne banñe kā marhala hai
dhaḌak rahā hai fazā kā siina ki zindagī kā muāmla hai
ḳhizāñ rahe yā bahār aa.e tumhāre hāthoñ meñ faisla hai
na chain be-tāb bijliyoñ ko na mutma.in kārvān-e-shabnam
kabhī shagūfoñ ke garm tevar kabhī guloñ kā mizāj barham
shagūfa o gul ke is tasādum meñ gulsitāñ ban gayā jahannam
sajā leñ sab apnī apnī jannat ab aise ḳhāke banā ke uThnā
ḳhazāna-e-rañg-o-nūr tārīk rahguzāroñ meñ luT rahā hai
urūs-e-gul kā ġhurūr-e-ismat siyāhkāroñ meñ luT rahā hai
tamām sarmāya-e-latāfat zalīl ḳhāroñ meñ luT rahā hai
ghuTī ghuTī haiñ numū kī sāñseñ chhuTī chhuTī nabz-e-gulistāñ hai
haiñ gursana phūl, tishna ġhunche, ruḳhoñ pe zardī laboñ pe jaañ hai
asiir haiñ ham-safīr jab se ḳhizāñ chaman meñ ravāñ-davāñ hai
is intishār-e-chaman kī saugand bāb-e-zindāñ hilā ke uThnā
hayāt-e-gītī kī aaj badlī huī nigāheñ haiñ inqilābī
ufuq se kirneñ utar rahī haiñ bikhertī nūr-e-kāmyābī
na.ī sahar chāhtī hai ḳhvāboñ kī bazm meñ izn-e-bāryābī
ye tīrgī kā hujūm kab tak ye yaas kā azhdahām kab tak
nifāq o ġhaflat kī aaḌ le kar jiyegā murda nizām kab tak
raheñge hindī asiir kab tak rahegā bhārat ġhulām kab tak
gale kā tauq aa rahe qadam par kuchh is tarah tilmilā ke uThnā
nuqush-e-hasrat miTa ke uThna, KHushi ka parcham uDa ke uThna
mila ke sar baiThna mubarak tarana-e-fath ga ke uThna
ye guftugu guftugu nahin hai bigaDne banne ka marhala hai
dhaDak raha hai faza ka sina ki zindagi ka muamla hai
KHizan rahe ya bahaar aae tumhaare hathon mein faisla hai
na chain be-tab bijliyon ko na mutmain karwan-e-shabnam
kabhi shagufon ke garm tewar kabhi gulon ka mizaj barham
shagufa o gul ke is tasadum mein gulsitan ban gaya jahannam
saja len sab apni apni jannat ab aise KHake bana ke uThna
KHazana-e-rang-o-nur tarik rahguzaron mein luT raha hai
urus-e-gul ka ghurur-e-ismat siyahkaron mein luT raha hai
tamam sarmaya-e-latafat zalil KHaron mein luT raha hai
ghuTi ghuTi hain numu ki sansen chhuTi chhuTi nabz-e-gulistan hai
hain gursana phul, tishna ghunche, ruKHon pe zardi labon pe jaan hai
asir hain ham-safir jab se KHizan chaman mein rawan-dawan hai
is intishaar-e-chaman ki saugand bab-e-zindan hila ke uThna
hayat-e-giti ki aaj badli hui nigahen hain inqilabi
ufuq se kirnen utar rahi hain bikherti nur-e-kaamyabi
nai sahar chahti hai KHwabon ki bazm mein izn-e-baryabi
ye tirgi ka hujum kab tak ye yas ka azhdaham kab tak
nifaq o ghaflat ki aaD le kar jiyega murda nizam kab tak
rahenge hindi asir kab tak rahega bhaarat ghulam kab tak
gale ka tauq aa rahe qadam par kuchh is tarah tilmila ke uThna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.