nae leader ki dua
bhagvān mire dil ko vo zinda tamanna de
jo hirs ko bhaḌkā de aur jeb ko garmā de
vādī-e-siyāsat ke is zarre ko chamkā de
is ḳhādim-e-adnā ko ik kursī-e-ālā de
auroñ kā jo hissa hai mujh ko vahī daatā de
mahrūm-e-batāshā huuñ tū puurī na halvā de
haañ murġh-e-musallam de haañ garm parāThā de
sūkhī huī āñtoñ ko fauran hī jo chiknā de
tahrīr meñ chustī de taqrīr meñ garmī de
jantā ko jo phailā.e aur qaum ko bahkā de
kursī-e-vazārat par ik jast meñ chaḌh jā.ūñ
tadbīr ko phurtī de taqdīr ko jhaTkā de
sikhlā de mujhe daatā vo rāz-e-jahāñbānī
qatre se jo dariyā de dariyā ko jo qatra de
muflis kī lañgoTī tak bātoñ meñ utarvā luuñ
ehsān ke parde meñ chorī kā salīqa de
qātil kī tabī.at ko bismil kī adā sikhlā
ḳhūñ-rezī ke jazbe ko hamdardī kā pardā de
thoḌī sī jo ġhairat hai vo bhī na rahe baaqī
ehsās-e-hamiyyat ko is dil se nikalvā de
al-qissa mire mālik tujh se ye guzārish hai
murġhī vo ināyat ho sone kā jo anDā de
bhagwan mere dil ko wo zinda tamanna de
jo hirs ko bhaDka de aur jeb ko garma de
wadi-e-siyasat ke is zarre ko chamka de
is KHadim-e-adna ko ek kursi-e-ala de
auron ka jo hissa hai mujh ko wahi data de
mahrum-e-batasha hun tu puri na halwa de
han murgh-e-musallam de han garm paraTha de
sukhi hui aanton ko fauran hi jo chikna de
tahrir mein chusti de taqrir mein garmi de
janta ko jo phailae aur qaum ko bahka de
kursi-e-wazarat par ek jast mein chaDh jaun
tadbir ko phurti de taqdir ko jhaTka de
sikhla de mujhe data wo raaz-e-jahanbani
qatre se jo dariya de dariya ko jo qatra de
muflis ki langoTi tak baaton mein utarwa lun
ehsan ke parde mein chori ka saliqa de
qatil ki tabiat ko bismil ki ada sikhla
KHun-rezi ke jazbe ko hamdardi ka parda de
thoDi si jo ghairat hai wo bhi na rahe baqi
ehsas-e-hamiyyat ko is dil se nikalwa de
al-qissa mere malik tujh se ye guzarish hai
murghi wo inayat ho sone ka jo anDa de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.