Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nae nainwa ka alamiya

Hasan Abbas Raza

nae nainwa ka alamiya

Hasan Abbas Raza

MORE BYHasan Abbas Raza

    vo shahr

    jis kuñvāriyoñ ke gulāb pinDe

    asiil ḳhvāja-sarāoñ ke be-sifāt jismoñ se munsalik hoñ

    vo shahr

    jis meñ badan sonā

    rafāqatoñ bajā.e

    sūraj hiddatoñ se pighal rahā hai

    vo shahr jis meñ

    sadāqatoñ ko shahīd karne

    qadam qadam par

    sitam salībeñ gaḌī huī huuñ

    jahāñ jahālat

    zakāvatoñ se ḳhirāj māñge

    to aise shahr-e-ġhanīm-e-jāñ ko

    tabāh hone se

    koī kyūñkar bachā sakegā

    wo shahr

    jis ki kunwariyon ke gulab pinDe

    asil KHwaja-saraon ke be-sifat jismon se munsalik hon

    wo shahr

    jis mein badan ka sona

    rafaqaton ki bajae

    suraj ki hiddaton se pighal raha hai

    wo shahr jis mein

    sadaqaton ko shahid karne

    qadam qadam par

    sitam saliben gaDi hui hun

    jahan jahaalat

    zakawaton se KHiraj mange

    to aise shahr-e-ghanim-e-jaan ko

    tabah hone se

    koi kyunkar bacha sakega

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now