nae nazariye ki taKHliq
kāñch kī rañgīn TuuTī chūḌiyoñ ko
ā.īne ke tiin TukḌoñ meñ
kisī bhī Dhañg se rakh do
nayā ḳhāka banegā
jis meñ ik tarkīb hogī
laakh jhaTke dījiye
har baar ye tarkīb ik tarkīb-e-nau meñ hī Dhalegī
jab bhī kuchh TuuTe hue logoñ meñ
apne tajrabāt-e-ḳhām ke qisse chhiḌeñge
ik nazariya janm legā
kanch ki rangin TuTi chuDiyon ko
aaine ke tin TukDon mein
kisi bhi Dhang se rakh do
naya KHaka banega
jis mein ek tarkib hogi
lakh jhaTke dijiye
har bar ye tarkib ek tarkib-e-nau mein hi Dhalegi
jab bhi kuchh TuTe hue logon mein
apne tajrabaat-e-KHam ke qisse chhiDenge
ek nazariya janm lega
- Book : AURAAQ (Pg. 177)
- Author : Wazir Agha, Sajjad Naqvi
- Publication : Auraaq Chauk, Urdu Bazar, Lahore (April, May 1982)
- Edition : April, May 1982
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.