nae sur ki tamsil
kāmanī ḳhvāb kī lau meñ hañstī huī kāmanī
sola baras kī taqvīm meñ fasl-e-gul kā koī tazkira
tak na thā
maiñ ne battīs battīs jhaḌ ruteñ kaaT diiñ
ab jo tamsīl ke ek vaqfe meñ tum se milā huuñ
to sāñsoñ meñ nam chaal meñ un zamānoñ kā rum
jī uThā hai
jo ahd-e-zamistāñ meñ yaḳh the
saqar sā saqar
kāmanī ḳhanda-e-gul kī kul zindagī
ek gulchīñ kī vahshat bharī aañkh hai
ye chaTaknā ye khulnā
bahut sehar-āvar sahī jāgne aur sone meñ ik
ḳhvāb-e-mauhūm se kuchh ziyāda nahīñ
ḳhvāb-o-ḳhvāhish ajab silsila hai
bahut duur bahtī huī ābshāroñ kā ik silsila
jis meñ koh-e-tazabzub kī ḳhushbū bhī hai
ahd-o-paimāñ kā jaadū bhī
ḳhuuñ se suroñ tak
suroñ se us ik lafz tak
jis meñ rāgoñ kā jauhar bañdhā hai
kahīñ aimanī ras kahīñ mārvā ThāTh bhageshirī
bhairvīñ aur pahāḌī
vo sab kuchh jo apne lahū meñ dahaktā chahaktā hai
jis ke tanāzur meñ ham bīst-o-shash-sāl
pahle bañdhe the
unhī ābshāroñ se mujh ko sadā aa rahī hai
so maiñ jā rahā huuñ
na.e sur uThāne
ki sargam kī farsūdgī dīda-o-dil bujhāne lagī hai
nayā sur jise lafz tartīb dete haiñ
pahuñche to jaano ki sān.e.a ke lafzoñ se uThtī namī tum
tak aa.ī
pas umr kā hāsil fan jaise sarfa-e-jāñ
kahīñ kuchh nahīñ
bīsat-o-shash-sāl dar ḳhidmat fan basar karda am
ba-chashm-e-nam aurāq-e-tar karda am
dar faqīrī guzar karda am
harf sar karda am
ye jo lafzoñ kī paiġhambarī hai na hotī to ibrat
sarā meñ bhalā kaun jiitā
maiñ lafzoñ meñ suskārtā huuñ
sunā tum ne sur
naġhma-e-tāza kā ye kitne qarnoñ se dil meñ kisī
sil kī sūrat jamā thā
ye jū-e-ravāñ tum tak aa.ī magar kitne
ḳhurshīd-o-mahtāb āhañg
bante hue bujh ga.e
kitne din gul hue
kitnī rāteñ Dhalīñ
ḳhair kaisā hisāb
aise naġhmoñ meñ ḳhuuñ aur charāġhoñ ke roġhan kā ek
pursa kise duuñ
bhalā koī azā-dār hai
pursa-dāroñ kī tamsīl meñ koī vaqfa nahīñ
kaamani KHwab ki lau mein hansti hui kaamani
sola baras ki taqwim mein fasl-e-gul ka koi tazkira
tak na tha
main ne battis battis jhaD ruten kaT din
ab jo tamsil ke ek waqfe mein tum se mila hun
to sanson mein nam chaal mein un zamanon ka rum
ji uTha hai
jo ahd-e-zamistan mein yaKH the
saqar sa saqar
kaamani KHanda-e-gul ki kul zindagi
ek gulchin ki wahshat bhari aankh hai
ye chaTakna ye khulna
bahut sehar-awar sahi jagne aur sone mein ek
KHwab-e-mauhum se kuchh ziyaada nahin
KHwab-o-KHwahish ajab silsila hai
bahut dur bahti hui aabshaaron ka ek silsila
jis mein koh-e-tazabzub ki KHushbu bhi hai
ahd-o-paiman ka jadu bhi
KHun se suron tak
suron se us ek lafz tak
jis mein ragon ka jauhar bandha hai
kahin aimani ras kahin marwa ThaTh bhageshiri
bhairwin aur pahaDi
wo sab kuchh jo apne lahu mein dahakta chahakta hai
jis ke tanazur mein hum bist-o-shash-sal
pahle bandhe the
unhi aabshaaron se mujh ko sada aa rahi hai
so main ja raha hun
nae sur uThane
ki sargam ki farsudgi dida-o-dil bujhane lagi hai
naya sur jise lafz tartib dete hain
pahunche to jaano ki sanea ke lafzon se uThti nami tum
tak aai
pas umr ka hasil fan jaise sarfa-e-jaan
kahin kuchh nahin
bisat-o-shash-sal dar KHidmat fan basar karda am
ba-chashm-e-nam auraq-e-tar karda am
dar faqiri guzar karda am
harf sar karda am
ye jo lafzon ki paighambari hai na hoti to ibrat
sara mein bhala kaun jita
main lafzon mein suskarta hun
suna tum ne sur
naghma-e-taza ka ye kitne qarnon se dil mein kisi
sil ki surat jama tha
ye ju-e-rawan tum tak aai magar kitne
KHurshid-o-mahtab aahang
bante hue bujh gae
kitne din gul hue
kitni raaten Dhalin
KHair kaisa hisab
aise naghmon mein KHun aur charaghon ke roghan ka ek
pursa kise dun
bhala koi aza-dar hai
pursa-daron ki tamsil mein koi waqfa nahin
- Book : Sitarah Saaz (Pg. 57)
- Author : Akhtar Usman
- Publication : Ahbaab Publications (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.