nae yug ka KHwab
bad-ḳhvābī se bachne ke the kaise kaise nusḳhe
bismillāh
phir pahlā kalima dūsrā kalima chāroñ qul
aur dāhnī karvaT sonā
niiñd to ab aatī hai kam kam aur agar aa bhī jaa.e to
ḳhvāb kahāñ achchhe aate haiñ
gahrā dariyā Dūbtī naav TuuTe pul ke ukhḌe taḳhte
raushan-dān pe kaale shīshe
dīvāroñ par ḳhuun ke chhīñTe
aag dhuāñ bechain karāheñ
ik karvaT par sote sote
dāhinā añg be-jān huā hai
ik ik kalima ik ik qul
kyā jaane kitnī baar paḌhā hai
ye bad-ḳhvābī kab jā.egī
bad-KHwabi se bachne ke the kaise kaise nusKHe
bismillah
phir pahla kalima dusra kalima chaaron qul
aur dahni karwaT sona
nind to ab aati hai kam kam aur agar aa bhi jae to
KHwab kahan achchhe aate hain
gahra dariya Dubti naw TuTe pul ke ukhDe taKHte
raushan-dan pe kale shishe
diwaron par KHun ke chhinTe
aag dhuan bechain karahen
ek karwaT par sote sote
dahina ang be-jaan hua hai
ek ek kalima ek ek qul
kya jaane kitni bar paDha hai
ye bad-KHwabi kab jaegi
- Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 755)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.