raat kā ye samundar tumhāre liye
tum samundar kī ḳhātir bane ho
diloñ meñ kabhī ḳhushkiyoñ kī sahar kā tasavvur na aa.e
isī vāste tum ko be-bādbāñ kashtiyāñ dī ga.ī haiñ
safar raat ke us samundar kī gahrā.iyoñ kā safar-e-be-karāñ hai
akele ho tum aur akele rahoge
magar āsmāñ kī jagah āsmāñ aur zamīñ kī jagah ye zamīñ
tum se qaa.em hai
daa.im hai ye raat
aur raat ke tum amiiñ ho
agar aañkh meñ nuur kā koī manzar hai
us kī hifāzat karo
raat ka ye samundar tumhaare liye
tum samundar ki KHatir bane ho
dilon mein kabhi KHushkiyon ki sahar ka tasawwur na aae
isi waste tum ko be-baadban kashtiyan di gai hain
safar raat ke us samundar ki gahraiyon ka safar-e-be-karan hai
akele ho tum aur akele rahoge
magar aasman ki jagah aasman aur zamin ki jagah ye zamin
tum se qaem hai
daim hai ye raat
aur raat ke tum amin ho
agar aankh mein nur ka koi manzar hai
us ki hifazat karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.