nafrat aur mohabbat
tum se nafrat karnā chāhtī huuñ
magar mohabbat ke saa.e par
nafrat kī ek bhī kiran
haavī nahīñ ho paatī
aur na chāhte hue bhī
in par
nafrat kī nigāh hai
jo kabhī bahut qarīb the
ba.az auqāt
mohabbat aur nafrat
hamārī muTThiyoñ meñ paanī kī mānind hotī hai
tum se nafrat karna chahti hun
magar mohabbat ke sae par
nafrat ki ek bhi kiran
hawi nahin ho pati
aur na chahte hue bhi
in par
nafrat ki nigah hai
jo kabhi bahut qarib the
baz auqat
mohabbat aur nafrat
hamari muTThiyon mein pani ki manind hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.