nafrat
mujhe nafrat se nafrat hai
ye vo ifrīt hai
jo gulshan-e-lab pe sajātā hai
ridā-e-ḳhār-e-dushnāmī
ye dast-e-be-zarar meñ
ḳhanjar-e-qātil ugātā hai
ye un āñkhoñ ko jo
ma.asūm-tar haiñ
ziyā-e-qahr-e-nā-zebā dikhā kar
surḳh kartā hai
ye hañste khelte ābād ghar ko
bilaktī siskiyoñ se
aur ashkoñ se samātā hai
ġharaz ye kaj-adā ifrīt
ḳhush-hālī ke rishtoñ kī rukāvaT hai
mujhe nafrat se nafrat hai
mujhe nafrat se nafrat hai
ye wo ifrit hai
jo gulshan-e-lab pe sajata hai
rida-e-KHar-e-dushnami
ye dast-e-be-zarar mein
KHanjar-e-qatil ugata hai
ye un aankhon ko jo
masum-tar hain
ziya-e-qahr-e-na-zeba dikha kar
surKH karta hai
ye hanste khelte aabaad ghar ko
bilakti siskiyon se
aur ashkon se samata hai
gharaz ye kaj-ada ifrit
KHush-haali ke rishton ki rukawaT hai
mujhe nafrat se nafrat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.