nafsiyati maraz
miir to nahīñ huuñ maiñ
jaane phir bhī aisā kyuuñ
roz roz hotā hai
raat ke samundar meñ
chāñd jo ki machhlī hai
motiyāñ ugaltā hai
aur ek motī se
jal-parī nikaltī hai
aur mujh se kahtī hai
kyuuñ udaas rahte huuñ
''nīñd kyuuñ nahīñ ātī''
kaun yaad aatā hai
kis kā ġham satātā hai
ulfatoñ ke maare ho
chāhatoñ ke pyāse ho
raat ik samundar hai
jis kī mauj-e-zulmat meñ
āshiqoñ ke nāloñ kā
an-kahe savāloñ kā
zahr ḳhuub hotā hai
sair ho ke pī lenā
phir gale lagā lenā
maut kī dulhan ko tum
daf.atan ye hotā hai
aarzū kī chaukhaT par
dil ke TuuT jaane se
dard chīḳh uThtā hai
ishq! terī tauba hai
mir to nahin hun main
jaane phir bhi aisa kyun
roz roz hota hai
raat ke samundar mein
chand jo ki machhli hai
motiyan ugalta hai
aur ek moti se
jal-pari nikalti hai
aur mujh se kahti hai
kyun udas rahte hun
nind kyun nahin aati
kaun yaad aata hai
kis ka gham satata hai
ulfaton ke mare ho
chahaton ke pyase ho
raat ek samundar hai
jis ki mauj-e-zulmat mein
aashiqon ke nalon ka
an-kahe sawalon ka
zahr KHub hota hai
sair ho ke pi lena
phir gale laga lena
maut ki dulhan ko tum
dafatan ye hota hai
aarzu ki chaukhaT par
dil ke TuT jaane se
dard chiKH uThta hai
ishq! teri tauba hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.