naghma-e-dehli
dekho nigah-e-shauq se dehlī ke nazāre
tahzīb kī jannat hai ye jamunā ke kināre
ye indr ke rañgīn akhāḌe kī parī hai
sadiyoñ meñ ye zevar se tamaddun ke sajī hai
jamhūr ne is shoḳh ke gesū haiñ sañvāre
dekho nigah-e-shauq se dehlī ke nazāre
har ek imārat se ayaañ jāh-o-hasham hai
har iiñT pe tārīḳh-e-vatan is kī raqam hai
har zarre meñ haiñ azmat-e-rafta ke sitāre
dekho nigah-e-shauq se dehlī ke nazāre
mīnār vo mīnara-e-azmat jise kahiye
masjid vo ki sajda-gah-e-fitrat jise kahiye
fankāroñ ne miT miT ke haiñ har naqsh ubhāre
dekho nigah-e-shauq se dehlī ke nazāre
durveshoñ ne bhī is pe mohabbat kī nazar kī
valiyoñ ne sadā phūlne phalne kī duā dī
ye zinda-o-pā.inda hai ḳhvāja ke sahāre
dekho nigah-e-shauq se dehlī ke nazāre
ye 'ġhālib'-o-'āzurda'-o-'ḳhusrau' kī chahetī
gahvāra-e-urdū hai abhī 'dāġh' kī dehlī
dil meñ abhī is ke haiñ mohabbat ke sharāre
dekho nigah-e-shauq se dehlī ke nazāre
bachpan se rahī gardish-e-daurāñ kī sahelī
har daur meñ ye gardish-e-ayyām se khelī
bigḌe jo kabhī vaqt ne abrū haiñ sañvāre
dekho nigah-e-shauq se dehlī ke nazāre
ab ḳhuld kī tasvīr haiñ ye kūcha-o-bāzār
ye zohra-jabīñ ḳhanda-ba-lab paikar-e-anvār
jis tarah utar aa.e hoñ gardūñ se sitāre
dekho nigah-e-shauq se dehlī ke nazāre
dehlī nahīñ ye azmat-e-mashriq kā nishāñ hai
is daur meñ bhī naġhma-gar-e-amn-o-amāñ hai
maġhrib se kaho 'rif.at'-e-dehlī ko pukāre
dekho nigah-e-shauq se dehlī ke nazāre
dekho nigah-e-shauq se dehli ke nazare
tahzib ki jannat hai ye jamuna ke kinare
ye indr ke rangin akhaDe ki pari hai
sadiyon mein ye zewar se tamaddun ke saji hai
jamhur ne is shoKH ke gesu hain sanware
dekho nigah-e-shauq se dehli ke nazare
har ek imarat se ayan jah-o-hasham hai
har inT pe tariKH-e-watan is ki raqam hai
har zarre mein hain azmat-e-rafta ke sitare
dekho nigah-e-shauq se dehli ke nazare
minar wo minara-e-azmat jise kahiye
masjid wo ki sajda-gah-e-fitrat jise kahiye
fankaron ne miT miT ke hain har naqsh ubhaare
dekho nigah-e-shauq se dehli ke nazare
durweshon ne bhi is pe mohabbat ki nazar ki
waliyon ne sada phulne phalne ki dua di
ye zinda-o-painda hai KHwaja ke sahaare
dekho nigah-e-shauq se dehli ke nazare
ye 'ghaalib'-o-'azurda'-o-'KHusrau' ki chaheti
gahwara-e-urdu hai abhi 'dagh' ki dehli
dil mein abhi is ke hain mohabbat ke sharare
dekho nigah-e-shauq se dehli ke nazare
bachpan se rahi gardish-e-dauran ki saheli
har daur mein ye gardish-e-ayyam se kheli
bigDe jo kabhi waqt ne abru hain sanware
dekho nigah-e-shauq se dehli ke nazare
ab KHuld ki taswir hain ye kucha-o-bazar
ye zohra-jabin KHanda-ba-lab paikar-e-anwar
jis tarah utar aae hon gardun se sitare
dekho nigah-e-shauq se dehli ke nazare
dehli nahin ye azmat-e-mashriq ka nishan hai
is daur mein bhi naghma-gar-e-amn-o-aman hai
maghrib se kaho 'rifat'-e-dehli ko pukare
dekho nigah-e-shauq se dehli ke nazare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.