naghma-e-watan
tujh pe qurbān ho merī jaan aur tan
mere hindostān mere pyāre vatan
ḳhushnumā vādiyāñ terī rashk-e-chaman
ḳhushbuoñ se mo.attar tirā pairahan
har nazāre meñ ra.anā.ī aur bāñkpan
tū bahāroñ kī hai ik hasīñ anjuman
mere hindostāñ mere pyāre vatan
terī nadiyoñ meñ naġhmāt aur qahqahe
pyārī fasleñ tirī pyāre mausam tire
ko.eloñ kī sadā.eñ papīhe kī lai
kitne rūmān-añgez haiñ tere ban
mere hindostāñ mere pyāre vatan
arz-e-kashmīr hai terī jannat-nishāñ
tujh meñ gañg-o-jaman se haiñ dariyā ravāñ
chūmtā hai himāla ruḳh-e-āsmāñ
hind sāgar meñ dhulte haiñ tere charan
mere hindostāñ mere pyāre vatan
pyaar kā desh aur naġhmagī kī zamīñ
amn kī mumlikat āshtī kī zamīñ
nānak aur chishtī-o-kirshn jī kī zamīñ
tū iram hī iram hai zamīñ-tā-gagan
mere hindostāñ mire saare vatan
tujh pe qurban ho meri jaan aur tan
mere hindostan mere pyare watan
KHushnuma wadiyan teri rashk-e-chaman
KHushbuon se moattar tera pairahan
har nazare mein ranai aur bankpan
tu bahaaron ki hai ek hasin anjuman
mere hindostan mere pyare watan
teri nadiyon mein naghmat aur qahqahe
pyari faslen teri pyare mausam tere
koelon ki sadaen papihe ki lai
kitne ruman-angez hain tere ban
mere hindostan mere pyare watan
arz-e-kashmir hai teri jannat-nishan
tujh mein gang-o-jaman se hain dariya rawan
chumta hai himala ruKH-e-asman
hind sagar mein dhulte hain tere charan
mere hindostan mere pyare watan
pyar ka desh aur naghmagi ki zamin
amn ki mumlikat aashti ki zamin
nanak aur chishti-o-kirshn ji ki zamin
tu iram hi iram hai zamin-ta-gagan
mere hindostan mere sare watan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.