nahin hota
asar ham par zarā nahīñ hotā
koī gur kārgar nahīñ hotā
sar pe DanDoñ kī bārisheñ bhī huiiñ
ham se pūchho ki kyā nahīñ hotā
murġh aksar banā.e jaate haiñ
aah phir bhī asar nahīñ hotā
ham ne laDDū churā.e haiñ aksar
jab koī dūsrā nahīñ hotā
likhne paḌhne se bair hai ham ko
pyaar is se kabhī nahīñ hotā
maar jab be-panāh paḌtī hai
tab koī ham-navā nahīñ hotā
dil pe ġham kī ghaTā.eñ chhā.ī haiñ
jab ki chhuTTī kā din nahīñ hotā
khelne kūdne se ulfat hai
kyoñ ki duniyā meñ kyā nahīñ hotā
ghar pe abbā schōl meñ ustād
kaun hai jo burā nahīñ hotā
asar hum par zara nahin hota
koi gur kargar nahin hota
sar pe DanDon ki barishen bhi huin
hum se puchho ki kya nahin hota
murgh aksar banae jate hain
aah phir bhi asar nahin hota
hum ne laDDu churae hain aksar
jab koi dusra nahin hota
likhne paDhne se bair hai hum ko
pyar is se kabhi nahin hota
mar jab be-panah paDti hai
tab koi ham-nawa nahin hota
dil pe gham ki ghaTaen chhai hain
jab ki chhuTTi ka din nahin hota
khelne kudne se ulfat hai
kyon ki duniya mein kya nahin hota
ghar pe abba school mein ustad
kaun hai jo bura nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.