nahin
laḌūñ-bhiḌūñ maiñ kisī se ye merā kaam nahīñ
nikāltā maiñ zabāñ se burā kalām nahīñ
ḳhudā-e-pāk ko raazī vo kar nahīñ saktā
baġhair jhuuT jise chain sub.h-o-shām nahīñ
jo log nek haiñ un se hai merī yād-allāh
bure jo log haiñ un se duā salām nahīñ
ḳhudā kā banda huuñ maiñ haañ ḳhudā kā banda huuñ
sivā ḳhudā ke kisī aur kā ġhulām nahīñ
hamesha rahtā huuñ maa.il maiñ sādgī ke saath
rahan-sahan meñ mire koī Tīm-Tām nahīñ
laDun-bhiDun main kisi se ye mera kaam nahin
nikalta main zaban se bura kalam nahin
KHuda-e-pak ko raazi wo kar nahin sakta
baghair jhuT jise chain subh-o-sham nahin
jo log nek hain un se hai meri yaad-allah
bure jo log hain un se dua salam nahin
KHuda ka banda hun main han KHuda ka banda hun
siwa KHuda ke kisi aur ka ghulam nahin
hamesha rahta hun mail main sadgi ke sath
rahan-sahan mein mere koi Tim-Tam nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.