nahin mera aanchal maila hai
nahīñ merā āñchal melā hai
aur terī dastār ke saare pech abhī tak tīkhe haiñ
kisī havā ne in ko ab tak chhūne kī jur.at nahīñ kī hai
terī ujlī peshānī par
ga.e dinoñ kī koī ghaḌī
pachhtāvā ban ke nahīñ phūTī
aur mere māthe kī siyāhī
tujh se aañkh milā kar baat nahīñ kar saktī
achchhe laḌke
mujhe na aise dekh
apne saare jugnū saare phuul
sambhāl ke rakh le
phaTe hue āñchal se phuul gir jaate haiñ
aur jugnū
pahlā mauqa.a paate hī uḌ jaate haiñ
chāhe oḌhnī se bāhar kī dhuup kitnī hī kaḌī ho!
nahin mera aanchal mela hai
aur teri dastar ke sare pech abhi tak tikhe hain
kisi hawa ne in ko ab tak chhune ki jurat nahin ki hai
teri ujli peshani par
gae dinon ki koi ghaDi
pachhtawa ban ke nahin phuTi
aur mere mathe ki siyahi
tujh se aankh mila kar baat nahin kar sakti
achchhe laDke
mujhe na aise dekh
apne sare jugnu sare phul
sambhaal ke rakh le
phaTe hue aanchal se phul gir jate hain
aur jugnu
pahla mauqa pate hi uD jate hain
chahe oDhni se bahar ki dhup kitni hi kaDi ho!
- Book : kulliyaat-e-maahe tamaam(sadbarg) (Pg. 203)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.