nai aastin
na mere zahr meñ talḳhī rahī vo pahlī sī
badan meñ us ke bhī pahlā sā zā.iqa na rahā
hamāre biich jo rishte the sab tamām hue
bas ek rasm bachī hai shikasta pul kī tarah
kabhī-kabhār javāb bhī hameñ milātī hai
magar ye rasm bhī ik roz TuuT jā.egī
ab us kā jism na.e saañp kī talāsh meñ hai
mirī havas bhī na.ī āstīn DhūñDhtī hai
na mere zahr mein talKHi rahi wo pahli si
badan mein us ke bhi pahla sa zaiqa na raha
hamare bich jo rishte the sab tamam hue
bas ek rasm bachi hai shikasta pul ki tarah
kabhi-kabhaar jawab bhi hamein milati hai
magar ye rasm bhi ek roz TuT jaegi
ab us ka jism nae sanp ki talash mein hai
meri hawas bhi nai aastin DhunDhti hai
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 113)
- Author : Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.