būḌhī dehlī ke khañDaroñ meñ
bastī ne añgḌā.ī lī hai
maazī ke is vīrāne meñ
rañg-birañge phuul khile haiñ
pūrab pachchhim utar dakhkhin
ik markaz par aan mile haiñ
lekin is bastī ke baasī
ik-dūje se begāne haiñ
sab matlab ke dīvāne haiñ
baabū logoñ kī ye bastī
kāġhaz ke phūloñ kā chaman hai
rañg-birañge in phūloñ meñ
bū-e-mohabbat bū-e-nafrat
bū-e-rifāqat bū-e-raqābat
kuchh bhī nahīñ hai kuchh bhī nahīñ hai
patthar haiñ in ke pahlū meñ
mar miTne kī taḌap nahīñ hai
jiine kā haijān nahīñ hai
vaqt kā ifrīt apnī piiTh pe
in ko laade ghuum rahā hai
ghar se daftar daftar se ghar
daftar se ghar ghar se daftar
buDhi dehli ke khanDaron mein
basti ne angDai li hai
mazi ke is virane mein
rang-birange phul khile hain
purab pachchhim utar dakhkhin
ek markaz par aan mile hain
lekin is basti ke basi
ik-duje se begane hain
sab matlab ke diwane hain
babu logon ki ye basti
kaghaz ke phulon ka chaman hai
rang-birange in phulon mein
bu-e-mohabbat bu-e-nafrat
bu-e-rifaqat bu-e-raqabat
kuchh bhi nahin hai kuchh bhi nahin hai
patthar hain in ke pahlu mein
mar miTne ki taDap nahin hai
jine ka haijaan nahin hai
waqt ka ifrit apni piTh pe
in ko lade ghum raha hai
ghar se daftar daftar se ghar
daftar se ghar ghar se daftar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.