nai ibtida
chalo aao chaleñ
chaleñ phir lauT ke vāpas
usī andhī guphā meñ ham
jahāñ raushan huī thī aag pahle-pahal
ki ab
kaalī havāoñ se bachāo kā yahī ik rāsta hai
chalo aao
unhīñ ġhāroñ kī jānib
phir chaleñ jānāñ
aur andar kī barastī bārishoñ meñ
jam ke bhīgeñ
bhīgte jaa.eñ
ThiThur jaa.eñ
ThiThur kar sard paḌte jism-o-jāñ ko ham
usī pahle-pahal kī aag se
rāhat dilā.eñ
usī pahle janam se phir kareñ nā ibtidā jānāñ
chalo aao
chalo aao chalen
chalen phir lauT ke wapas
usi andhi gupha mein hum
jahan raushan hui thi aag pahle-pahal
ki ab
kali hawaon se bachao ka yahi ek rasta hai
chalo aao
unhin ghaaron ki jaanib
phir chalen jaanan
aur andar ki barasti barishon mein
jam ke bhigen
bhigte jaen
ThiThur jaen
ThiThur kar sard paDte jism-o-jaan ko hum
usi pahle-pahal ki aag se
rahat dilaen
usi pahle janam se phir karen na ibtida jaanan
chalo aao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.