nai kahani
ham na suneñge ab ye kahānī
ek thā raaja ek thī raanī
na.ī kahānī mujhe sunāo
ammī hamārā jī bahlāo
ham na suneñge sher kā qissa
aa jaatā hai ham ko ġhussa
kyuuñ khātā hai hiran hamāre
nanhe se ḳhargosh bichāre
ham to suneñge qissa aisā
ek ho laḌkā merā jaisā
sher ko bhī jo maar bhagā.e
raaja ko ḳhātir meñ na laa.e
paar kare jo saat samundar
sair kare ākāsh pe jā kar
paar kare vo saat samundar
sair kare ākāsh pe jā kar
taare us ke hoñ ham-jolī
chāñd se khele āñkh-micholī
bādal meñ vo jhūlā jhūle
chāñd sitāroñ ko bhī chhū le
ammī merī achchhī ammī
kah do aaj kahānī aisī
hum na sunenge ab ye kahani
ek tha raja ek thi rani
nai kahani mujhe sunao
ammi hamara ji bahlao
hum na sunenge sher ka qissa
aa jata hai hum ko ghussa
kyun khata hai hiran hamare
nanhe se KHargosh bichaare
hum to sunenge qissa aisa
ek ho laDka mera jaisa
sher ko bhi jo mar bhagae
raja ko KHatir mein na lae
par kare jo sat samundar
sair kare aakash pe ja kar
par kare wo sat samundar
sair kare aakash pe ja kar
tare us ke hon ham-joli
chand se khele aankh-micholi
baadal mein wo jhula jhule
chand sitaron ko bhi chhu le
ammi meri achchhi ammi
kah do aaj kahani aisi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.