nai paud
ye na.ī paud al-hafīz-o-al-amāñ
ra.ad hai tūfān hai ātish-fishāñ
khelne meñ josh paḌhne meñ ḳharosh
harkatoñ se in kī uḌ jaate haiñ hosh
nāshte kī mez par chhīn aur jhapaT
pheñk deñ chamche rakābī deñ ulaT
aur phir tayyāriyāñ schōl kī
shāmat aa.e mez kī stool kī
ye ga.e aur jaise tūfān tham gayā
ek sannāTā havā meñ tham gayā
shaam ko aate hī naukar par ḳhafā
aaj anDā hai na murġhī khā.eñ kyā
daal meñ gar ghī nahīñ to hai itaab
gar pasnde kam paḌeñ to haiñ kabāb
fikr un ke peT bharne kī karo
aur phir schōl ke qisse suno
aaj moTe master chakrā ga.e
uThte hī dīvār se Takrā ga.e
board par jo kal likhā thā miT gayā
ek baḌā shaitān laḌkā piT gayā
mushkil añgrezī hai hindī bor hai
ye paḌosī kā bhatījā chor hai
laḌkiyoñ ke madrase kī kyā hai baat
roz raste meñ na.ī ik vārdāt
bas meñ ik teacher kā Taḳhnā muḌ gayā
ek laḌkī kā dupaTTa uḌ gayā
ek ustānī kī haiñ chhe ungliyāñ
umr meñ haiñ un se kam un ke miyāñ
har taraf gūñjī huī āvāz hai
vaah kyā sañgīt hai kyā saaz hai
koī ḳhargoshoñ ko dauḌātā phire
koī filmī giit hī gaatā phire
haiñ bahan baiThī huī is taak meñ
bhaa.ī se kaise khilaunā chhīn leñ
farz maamā kā kahānī bhī sunā.eñ
ḳhud bhī jāgeñ dūsroñ ko bhī jagā.eñ
kyā majāl us vaqt tak ye so sakeñ
jab talak ammī kī ghuḌkī sun na leñ
ye nai paud al-hafiz-o-al-aman
rad hai tufan hai aatish-fishan
khelne mein josh paDhne mein KHarosh
harkaton se in ki uD jate hain hosh
nashte ki mez par chhin aur jhapaT
phenk den chamche rakabi den ulaT
aur phir tayyariyan school ki
shamat aae mez ki stool ki
ye gae aur jaise tufan tham gaya
ek sannaTa hawa mein tham gaya
sham ko aate hi naukar par KHafa
aaj anDa hai na murghi khaen kya
dal mein gar ghi nahin to hai itab
gar pasnde kam paDen to hain kabab
fikr un ke peT bharne ki karo
aur phir school ke qisse suno
aaj moTe master chakra gae
uThte hi diwar se Takra gae
board par jo kal likha tha miT gaya
ek baDa shaitan laDka piT gaya
mushkil angrezi hai hindi bor hai
ye paDosi ka bhatija chor hai
laDkiyon ke madrase ki kya hai baat
roz raste mein nai ek wardat
bas mein ek teacher ka TaKHna muD gaya
ek laDki ka dupaTTa uD gaya
ek ustani ki hain chhe ungliyan
umr mein hain un se kam un ke miyan
har taraf gunji hui aawaz hai
wah kya sangit hai kya saz hai
koi KHargoshon ko dauData phire
koi filmi git hi gata phire
hain bahan baiThi hui is tak mein
bhai se kaise khilauna chhin len
farz mama ka kahani bhi sunaen
KHud bhi jagen dusron ko bhi jagaen
kya majal us waqt tak ye so saken
jab talak ammi ki ghuDki sun na len
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.