nai subh
ye sehhat-baḳhsh taḌkā ye sahar kī jalva-sāmānī
ufuq saarā banā jaatā hai dāmān-e-chaman jaise
chhalaktī raushnī tārīkiyoñ pe chhā.ī jaatī hai
uḌaa.e nāziyat kī laash par koī kafan jaise
ubaltī surḳhiyoñ kī zad pe haiñ halqe siyāhī ke
paḌī ho aag meñ bikhrī ġhulāmī kī rasan jaise
shafaq kī chādareñ rañgīñ fazā meñ thartharātī haiñ
uḌaa.e laal jhanDā ishtirākī anjuman jaise
chalī aatī hai sharmā.ī lajā.ī hūr-e-bedārī
bhare ghar meñ qadam tham tham ke rakhtī hai dulhan jaise
fazā gūñjī huī hai sub.h ke taaza tarānoñ se
surūd-e-fat.h par haiñ surḳh faujeñ naġhma-zan jaise
havā kī narm lahreñ gudgudātī haiñ umañgoñ ko
javāñ jazbāt se kartā ho chuhleñ bāñkpan jaise
ye saada saada gardūñ pe tabassum-āfrīñ sūraj
pai-dar-pai kāmyābī se ho stalin magan jaise
sahar ke aa.ine meñ dekhtā huuñ husn-e-mustaqbil
utar aa.ī hai chashm-e-shauq meñ 'kaifī' kiran jaise
ye sehhat-baKHsh taDka ye sahar ki jalwa-samani
ufuq sara bana jata hai daman-e-chaman jaise
chhalakti raushni tarikiyon pe chhai jati hai
uDae naziyat ki lash par koi kafan jaise
ubalti surKHiyon ki zad pe hain halqe siyahi ke
paDi ho aag mein bikhri ghulami ki rasan jaise
shafaq ki chadaren rangin faza mein thartharaati hain
uDae lal jhanDa ishtiraki anjuman jaise
chali aati hai sharmai lajai hur-e-bedari
bhare ghar mein qadam tham tham ke rakhti hai dulhan jaise
faza gunji hui hai subh ke taza taranon se
surud-e-fath par hain surKH faujen naghma-zan jaise
hawa ki narm lahren gudgudati hain umangon ko
jawan jazbaat se karta ho chuhlen bankpan jaise
ye sada sada gardun pe tabassum-afrin suraj
pai-dar-pai kaamyabi se ho stalin magan jaise
sahar ke aaine mein dekhta hun husn-e-mustaqbil
utar aai hai chashm-e-shauq mein 'kaifi' kiran jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.