nai zindagi
ghar ke andar kitne din se
mailā bistar paḌā huā thā
na.e purāne saare kapḌe
ik khūñTī par Tañge hue the
farsh pe kitnī dhuul jamī thī
tanhā.ī har samt paḌī thī
lekin jab se tum aa.ī ho
ghar kī hālat badal ga.ī hai
ik ḳhushbū sī phail rahī hai
ab is ghar meñ man lagtā hai
ghar ke andar kitne din se
maila bistar paDa hua tha
nae purane sare kapDe
ek khunTi par Tange hue the
farsh pe kitni dhul jami thi
tanhai har samt paDi thi
lekin jab se tum aai ho
ghar ki haalat badal gai hai
ek KHushbu si phail rahi hai
ab is ghar mein man lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.